Phir wohii main hun,, wohii sheher-badar sannaata...
Mujhko dass le na kahin khaak-basar sannaata...
Dasht-e-hastii me shab-e-gham ki sehar krne ko...
Hijr waalo'n ne liya rakht-e-safar sannaata...
Kisse poochhu'n k kahan hai mera rone wala...??
Ek taraf main hun,, mere ghar se udhar sannaata...
Tu sadaao'n k bhanwar me mujhe aawaaz to de...
Tujhko dega mere hone ki khabar sannaata...
Usko hangaama-e-manzil ki khabar kya doge...??
Jisne paaya ho sar-e-raahguzar sannaata...
Haasil-e-kunj-e-qafas,, wehem-ba-kaf-tanhaayii...
Ronaq-e-shaam-e-safar,, taa-ba-sehar sannaata...
Qismat-e-shaair-e-seemaab-sifat dasht ki maut...
Qeemat-e-reza-e-almaas-e-hunar sannaata...
Jaan-e-MOHSIN meri taqdeer me kb likha hai...??
Doobta chaand,, tera qurb,, gajar,, sannaata....!!
No comments:
Post a Comment