21 Apr 2016

Khud ko parrhta hon, chorr deta hon

Khud ko parrhta hon, chorr deta hon
eik warq rooz morr deta hon

Ess qadar zaKhm haiN nigaahon meiN
roz ek aaina toR deta hoN

maiN pujari baraste phooloun ka
chu k shaKhoun ko chorr deta hon

kasa-e-shab mein Khoon suraj ka
qatra qatra nichoR deta hon

kaanpte hount bheegti palkein
baat adhori hi choR deta hon

Rait k ghar bana bana k main.
jane kyo Khud hi torr deta hoon

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...