27 Apr 2016

Pathar Bhi Nahi Ab Woh, Sitara Tha Jo Ek Shaks,

Gumsum Howaa Awaaz Ka Dariya Tha Jo Ek Shakhs
Pathar Bhi Nahi Ab Woh, Sitara Tha Jo Ek Shaks,

Shayad Woh Koi Harf-e-Wafa Dhoondh Raha Tha
Chehron Ko Bare Gor Se Parhta Tha Jo Ek Shaks,

Sehraa Ki Tarah Dair Se Piyasa Tha Woh Shayad
Badal Ki Tarah Toot Kay Barsa Tha Jo Ek Shaks,

Aye Tez Hawaa Koi Khabar Us Kay Januu Ki ?
Tanha Safar-e-Shaoq Pe Nikla Tha Jo Ek Shaks,

Ab Aakheri Satron Mein Kaheen Naam Hai Uk Ka
Ahbaab Ki Fehrist Mein Pehla Tha Jo Ek Shaks,

Hathon Mein CHupaye Howe Pherta Hai Kai Zakhm
Sheeshe Kay Khelon Se Behlta Tha Jo Ek Shaks,

Mur Mur Kar Usay Dekhna Chahen Meri Aankhen
Kuch Door Mujhe Chorne Aaya Tha Jo Ek Shaks,

Ab Us Ne Bhi Apna Liye Duniya Kay Qareene
Saaye Ki Rafaqat Se Bhi Darta Tha Jo Ek Shaks,

Har Zehn Mein Kuch Naqsh-e-Wafa Chor Giya Hai
Kehne Ko Bhare Shaher Mein Tnha Tha Jo Ek Shaks,

Munkar Hai Ab Wohi Meri Pehchan ka "Mohsin"
Aksar Mujhe Khat Khoon Se Likhta Tha Jo Ek Shaks....

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...