29 Apr 2016

Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain


Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain
Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain

Taab anjam-e-muhabba t ki bhala kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain

Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain

Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain?

Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei,
Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain

Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey
Dil yahin,hasrat-e- prwaz mein rakhay huay hain

Ham to hain aab-e-zar-e-ish q say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain...

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...