29 Jun 2013

Kalaam karti nhi, Bolti bhi jati hy

Kalaam karti nhi, Bolti bhi jati hy

Teri Nazar ko ye Kesi Zuban Aati hy ,



Kabhi Kabhi Mujhy Pehchanti nhi Wo Aankh

Kabhi Charagh sy Charo'n taraf Jalati hy ,



Ajab Tazaad men Palti hy Tery Wasl ki Yad ,

K Ek Aag Bujhati hy Ik Lagati hy ,



Main Us ko dekhta rehta hun Raat Dhalny tak ,

Jo Chaandni Teri Galiyo'n sy ho k Aati hy ,



Ye Roshni bhi Ataa hy Teri Mohabat ki ,

Jo Meri Rooh k Manzar Mujhy dikhati hy ,



Umeed e Wasl bhi hy Kaanch ki Choorri ,

K Pehn'ny men kai baar Toot jati hy,

Mere Pehlu Main Bhi Ek Shamma Jala Karti Hai.

Mere Pehlu Main Bhi Ek Shamma Jala Karti Hai.

Jis Ki Lou Se Teri Tasvir Bana Karti Hai.



Samne Tere Zuban Band Rehti Hai Mgr.

DiL Ki Jo Baat Hai Wo Aankh Adaa Karti Hai.



Chup Kiyon Ho Hum Se Koi Baat Karo.

Aise Khamoshi Se To Takleef Barha Karti Hai.



Shama Jalti Hai To Zamany Ko Pata Chalta Hai.

DiL K Jalne Ki Khabar Kis Ko Hua Karti Hai.

Choom leti hain latak kar kabhi chehra kbhi lab

Choom leti hain latak kar kabhi chehra kbhi lab

Tm ne zulfon ko bohat sir pe chara rakha hy



Chashm-e-saqi ne ye kiya khail racha rakha hy?

K0i zahid

K0i may-khuar bana rakha hy



Jo phansa phir na us ne kabhi rehai mangi

Zulf teri ne B ajab jaal bicha rakha hy



Ab me samjHA tere rukhsar pe til ka matlab

Dolat-e-husn pe darban bitha rakha hy



Dil ye chahe K tu kabi badnaam na h0

Dekh zikar tera hy magar naam chupa rakha hy



Ishq ho K husn ho,dono ka asar yaksan hy

Cheez ek hy magar naam juda rakha hy



Teri makhmöör nighaon se hy ronaq saari

Warna saqi tere may-khaney men kiya rakha hai..

Nigah-e-Yaar K Pardon Mey Hey Ada Kesi..!

Nigah-e-Yaar K Pardon Mey Hey Ada Kesi..!

Sitam Kesa Karam Kesa, Jafa Kesi,

Wafa Kesi..!



Ye Jo Tofan Samandar Hain, Ye Sub Hasti K Manzar Hain..!

Agar Qismat Mey Jalna Ho,

Dawa Kesi,

Dua Kesi..!



Suney Ga Kon Ab Mujh Sey,

TERY Behroop K Qissey..!

Mujhey Bhi Maar K Kar Di Karm Ki Inteha Kesi..!



Agar Dil Haar Hi Bethey Merey Hum_dam Mohabbat Mey..!



Fana Kesi,

Baqa Kesi,

Saza Kesi,

Jaza Kesi....

Jaisy BadNaseeb Chooriyan Hon Bina Kalaai K...

Jaisy Bad_Naseeb Chooriyan Hon Bina Kalaai K...



Bina Tumhary Kuch Aisa Hi Hoon Main...

Mujhe Rona Nahin, Awaz Bhi Bhaari Nahin Karni,

Mujhe Rona Nahin, Awaz Bhi Bhaari Nahin Karni,

Mohabbat Ki Kahaani Men Adaa'kaari Nahin Karni,



Hamara Dil Zara Uktaa Gaya Tha Ghar Men Reh Reh Kar,

Yunhi Baazaar Aaye Hain Kharidaari Nahin Karni,



Tahamul Ay Mohabbat, Hijr Pathareela Ilaaqa Hai,

Tujhe Is Raaste Par Taiz'raftaari Nahin Karni,



Hawa K Khauf Se Lipta Hun Khushk Tehni Se,

Kahin Jana Nahin, Jaane Ki Tayaari Nahin Karni,



Ghazal Ko Kam'nigaahon Ki Pohunch Se Door Rakhta Hun,

Mujhe Banjar Dimaaghon Men Shajar'kaari Nahin Karni,



Naseehat Ki Thi Mujh Ko 'Qais Ne Sehraa K Baare Men,

Ye Mera Ghar Hai, Is Ki Chaar'diwaari Nahin Karni.

Kaheen charaaG kaheen aainay sajaa0nGa

Kaheen charaaG kaheen aainay sajaa0nGa

mai apna shehr naey dhanG se basaa0nGa



mujhay to apni rafaaQat bhi zehr laGti hai

mai apna saath bhi ik r0z chh0r jaa0nGa



ek aisa WaQt bhi aayeGa tere baad k jab

mai har kisi k0 tere naaam se bulaa0NGa



mera hadaf to k0i aur shaks hai lekin

mai teer aur kisi ki taraf chalaa0nGa



jaameGi aaj bhi ch0paal aur mai Shaaer

jo asal hai wo kahaani nhe sunaa0nGa...

28 Jun 2013

Log Kehte H�in K Mera Dil Pathar Ka Tha.

Log Kehte Häin K Mera Dil Pathar Ka Tha.



Lekin Kuch Log Aise Bhi Miley Jo is Ko Bhi Torrney Mein Maahir Nikle.

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho.

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho.

Mere Guzray Howay Saalon Se Pareshaan Na Ho.



Meri Awaaz Ki Talkhi Ko Gawara Kar Le.

Mere Gustaakh Swaalon Se Pareshaan Na Ho.



Main Ne Maana Teri Aankhain Nahi Khulti Hain Magar.

Din Nikalne De Ujaalon Se Pareshaan Na Ho.



Apni Zulfon Mein Utarti Hoi Chaandni Ko Chupa?

Mere Bikhre Hoay Baalon Se Pareshaan Na Ho.



Ay Naye Dost Main Bharpoor Howa Hun Tera.

Mere Maazi K Hwaalon Se Pareshaan Na Ho.



Dekh Youn Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se.

Tu Meri Rooh K Chaalon Se Pareshaan Na Ho.



Khud Ko Viraan Na Kar Mere Liye.

In Pareshaan Khyalon Se Pareshaan Na Ho.

Naram Naram Pholoon ka Rus Nichorr Laiti Hain.

Naram Naram Pholoon ka Rus Nichorr Laiti Hain.
Pathar k Dil Hotay Hain Titlion k Seenay Mein....

Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum,

Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum,

Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum.



Kabhi tumhen bhi tu daawa tha sard-mehri ka,

Kissi k lamss ko paa kar pighal rahi ho tum,



Batao kiyon nahi roka tha jaane waley ko,

Ab aik umar se kiyon hath mall rahi ho tum.



Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya,

Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum.



Hamaare dil ka khilona tumhi ne torra hai,

Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum.



Tumhein gumaa'n hai k main jaanta nahi kuch bhi,

Mujhe khabar hai k rasta badal rahi ho tum.

Dil dhoond raha hai uss ko jo paas nahi hai,

Dil dhoond raha hai uss ko jo paas nahi hai,

Milney ki iss baras bhi koi aas nahi hai,



Ek boond ko tarsaa hoon main apni hi zameen par,

Ab beech samundar mein mujhey piyaas nahi hai,



Phir kis liye Samjhota-e-Muhabbat karoon main,

Jab uss ko mera ehsaas nahi hai,



Mere Barey mein uss ko ye kehtey tu sunaa hoga,

Acha tu buhat hai Magar

Itna bhi khaas nahi hai,



Dil torrney waley ne ye mehsoos kiya tha,

Nazuk tu buhat hai, Magar

Itna bhi hasaas nahi hai...

Chashm_e_Num Teri Rawani Se Alag Rehta hon,

Chashm_e_Num Teri Rawani Se Alag Rehta hon,

Aag Hi Aag Hon Pani Se Alag Rehta Hon,



Gumshuda Hon Dhoond Mat Mera Naam_o_Nishan,

Main To Hr Yaad-Dehani Se Alag Rehta Hon,



Tu Mere Tazkara_e_Ishq Me Q Rehta Hai,

Main To Khud Apni Kahani Se Alag Rehta Hon,



Phool Se Tark_e_Ta'aluq Ko Zamana Guzra,

Ab To Main Teri Hr Nishani Se Alag Rehta Hon,



Ek Shaks Se Mila Hai Muje Sab Dhoka_o_Faraib,

Main Ab Aalam_e_Faani Se Alag Rehta Hon.

Sukhnori Hamain Kab Tajurbe Se Aai Hai.

Sukhnori Hamain Kab Tajurbe Se Aai Hai.

Zubaan Mein Chashni Dil Tottne Se Aai Hai.



Jidhar Se Mera Badan Dhoop Chaat Kar Guzra.

Hawa-E-Sard Usi Raste Se Aai Hai.



Tarrpta Main Hoon Pasina Us K Mathe Par.

Shikast-E-Dil Ki Sada Aaine Se Aai Hai.



Khulla Saboot Hai Dushmanon K Shabkhoon Ka.

K Dhool Thehere Howe Qafle Se Aai Hai.



Safar Mein Sath Mera Aur Koi Kiya Deta.

Hawa Bhi Meri Taraf Samane Se Aai Hai.



Sahar Ne Mujh Ko Nahi Kia Seeqal.

Meri Nazar Mein Chamak Ratjage Se Aai Hai.

Tumhaare paas hoon per jo doori hai samjhta hoon

Tumhaare paas hoon per jo doori hai samjhta hoon

Tumhaare bin meri hassti adhoori hai samjhta hoon



Tumhein main bhool jaaon ye mumkin nahi lekin !

Tumhi ko bhoolna zaroori nahi hai, samjhta hoon...!!

Mohabbat ki hawa Jism ki dawa ban gayi,

Mohabbat ki hawa Jism ki dawa ban gayi,

Daori ap ki meri chahat ki saza ban gayi,



Kaise bholoon aap ko ek pal k liye,

apki yaad hamare jeene ki vajah ban gayi.

Ranj-e-bekaifi-e-hayaat nahi.

Ranj-e-bekaifi-e-hayaat nahi.

Aap khush hain tu koi baat nahi.



Sochiye tu hazaar baaten hain.

Ghaur kijiye tu k0i baat nahi.



Tazkary hain khuloos k jin mein.

Daastanen hain waqeyaat nahi.



Fikar ho jin k toot janaay ka.

Un se Aisy taalluqaat nahi.



Zikar hai gardish-e- Zamaana ka.

Aap ki ankhriy0n ki baat nahi.



Kitni shamen jalaao gay.

Zindagi garrmiun ki raat nahi.

Hum Se Jab Hoont Woh Milaatay Hain.

Hum Se Jab Hoont Woh Milaatay Hain.

Maikady Bansuri Bajaatay Hain.



Aao Hum Ko Faraib Do Koii,

Hum Khushi Se Faraib Khaatay Hain.



Jo Teray Dar Se Namuraad Aaye,

Ab Mere Dar Ko Khatkhataatay Hain.



Teri Mehfil Ki Rooshni K Liye.

Aaj Hum Apna Dil Jalaatay Hain.



Youn Khanakti Hai Nabz-E-Dil Jaisse.

Jangaloon K Sakoot Gaatay Hain.



Dil Alam Hi Se Shaq Nahi Hote.

Dil Khushi Se Bhi Toot Jaatay Hain.



Aap Bhi Koi Hukam Farmayeen.

Maah Jabeen Khidmatain Karwaatay Hain.



Tum Ne Dil Ko Ujaar Hi Daala.

Kiya Sajan Youn Ghar Basaatay Hain.



Koi Matti Ka Koi Chaandi Ka.

Ghar Mein Sab Hi Diye Jalaatay Hain....!!

27 Jun 2013

Aise Morh Par La K Chhorh Dia Hai Us Ne,

Aise Morh Par La K

Chhorh Dia Hai Us Ne,

Jahan Kisi Dosre Ki To Kiya Mujhe Apni Talab Bhi Nahi Rahi

Kitna Kamzoor Kiya Ishq Ne Tery Mujh Ko...

Kitna Kamzoor Kiya Ishq Ne Tery Mujh Ko...

Nabaz Chalti Hy Tu Dukhti Hy Kalai Meri...

Hosla Us Men Bhi Na Tha Mujh Se Juda Hone Ka.

Hosla Us Men Bhi Na Tha Mujh Se Juda Hone Ka.

Warna Kajal Uski Ankhon Men Youn Na Phela Hota..

Hum ne Suna tha Sehn-e-Chaman me Kaif k Badal Chaye hain,

Hum ne Suna tha Sehn-e-Chaman me Kaif k Badal Chaye hain,

Hum bhi Gay thy Jee behlany,Ashk Baha kr Aaye hain.

PhoOl khily to Dil Murjhay, Shama Jaly to Jaan Jaly, Ek Tumhara Gham Apna kar Kitny Ghum Apnaye hain.

Ek Sulagti Yaad,Chamakta Dard,Farozan Tanhai, Poch na Us k Sheher se Hum Kya Kya SoGhaten Laaye hain.

Soye huye Jo Dard thy Dil me, Aansu Ban k Beh nikly Raat Sitaron ki ChaoN me Yaad Wo kya kya Aaye hain, ,

Parbatt hain Wohi Saamne JheeLain bhi Makaan bhi..

Parbatt hain Wohi Saamne JheeLain bhi Makaan bhi..

Har Simt sE uthta hua YaaDon ka DhuWaan bhi..



Pairron TaLLey TanHai

k bikhre huwe PatteY,

Patton k Kinaron pe

Udaasi k NisHaan bhi..



khiLte huwe PhooLon

mE cHupa hai koi cHeHra,

Wo cHeHra jise Dhoondh

nHi sakhti KhiZaan bhi..



Behty huwe JharneY pe

hain Thehri hui Aankhain,

Thehri hui Aankhon me

kaee khwaaB Rawaan bhi...!!

Iza-dehi ki daad jo paata raha hon main.

Iza-dehi ki daad jo paata raha hon main.

Har naaz aafren ko satata raha hon main.



Ay kaash kharaam paon k chhaly to gin zara.

Tujh ko kahan kahan na phirata raha hon main.



Ek satar bhe kabhi na likhi main nay teray naam.

Pagal tujhi ko yaad bhe aata raha hon main.



Shayed mujhy kisi say mahabbat nahi hoi.

Lekin yaqeen sub ko dilata raha hon main.



Ek husn e bymissal ki tamseel k lye.

Parchayun py rang girata raha hon main.



Kal dopehar ajeeb si ek baydili rahi.

Bus tee'lyan jala k bujhta raha hon main.,.!i

Soz-O-Gham Dy Ke Mujhe Us Ne Ye Irshaad Kiya,

Soz-O-Gham Dy Ke Mujhe Us Ne Ye Irshaad Kiya,

Jaa Tujhe Kashmakash e-Dehr Se Aazad Kiya,



Wo Karen Bhi To Kin Alfaaz Se Tera Shikwa,

Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya,



Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya,

Jab Chali Sard Hawa Main Ne Tujhe Yaad Kiya,



Uss Ka Rona Nahi Kiyon Tum Ne Kiya DiL Barbaad,

Ess Ka Gham Hai K Bahut Dair Mein Barbaad Kiya,



Itna Mahnoos Hoon Fitrat Se

Kalli Jab Chatki,

Jhuk Ke Main Ne Ye Kaha Mujh Se Kuch Irshaad Kiya,



Mujh Ko To Hosh Nahi Tum Ko Khabar Ho Shayad,

Loog Kehte Hain Ke Tum Ne Mujhe Barbaad Kiya....!!

Laboon Pe Us Ki Hansi Chehra Sogwaar Us Ka,

Laboon Pe Us Ki Hansi Chehra Sogwaar Us Ka,

Meri Samajh Mein Na Aaye Ye hi Sahaar Us Ka.



Nahi Wo Laut K Aaye Ga Hai Yaqeen Mujh Ko,

Ye Aur Baat K Ab Bhi Hai Intizaar Us Ka.



Koi Bhi Baat Wo Karta Nahi Yaqeen K Saath,

Karoon Tu Kaise Karoon Main Bhi Aetbaar Us Ka.



To Kiyun Wo Karta Hai Baaten Sada Bicharne Ki,

Mere Hi Saath Hai Wabasta Gar Qaraar Us Ka.



Mujhe Ajeeb Si Ik Be-Kali Mein Daal Gaya,

Palatt K Dekhna Mujh Ko Wo Baar Baar Us Ka.



Main Ik Ajeeb Se Nashe Mein Ghirt Jaata Hoon,

Utarta Jaata Hai Dil Me Mere Jo Pyaar Us Ka.



Ek Muhabbat Hi Aisa Badah Hai,

Kisi Bhi Shay Se Utarta Nahi Khumaar Us Ka..

Aanganon Main Utra Hai Baam-O-Dar Ka Sannata,

Aanganon Main Utra Hai Baam-O-Dar Ka Sannata,

Mere Dil Pe Chaaya Hai, Mere Ghar Ka Sannata,



Raat Ki Khamoshi To Phir Bhi Meherban Nikli,

Kitna Jaan Leva Hai Dopeher Ka Sannata,



Subha Mere Jore Ki Her Kali Salamat Nikli,

Goonjta Tha Khushboo Main Raat Bhar Ka Sannata,



Apni Dost Ko Le Kar Tum Wahan Gaye Hoge,

Mujh Ko Poochta Hoga, Rahguzer Ka Sannata,



Khat Ko Choom Kar Us Ne Aankh Se Lagaya Tha,

Kul Jawab Tha Goya, Lamha Bhar Ka Sannata,



Tu Ne Uss Ki Aankhoon Ko Ghor Se Parha Qaasid?

Kuch Tou Keh Raha Hoga Uss Nazer Ka Sannata,

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon Kamaal-e-Yaar Se Pehle

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon Kamaal-e-Yaar Se Pehle

Main Khushoo Ki Tarah Mehkoon Khayaal-e-Yaar Se Pehle



Karishmen Husn K Sooraj Siatare Phool Zahir Hain

Magar Main Kiss Taraf Dekhoon Misaal-e-Yaar Se Pehle



Duaaon Main Meri Youn To Bahut Taseer Hai Lekin !

Khuda Se Aur Kiya Mangoon Sawaal-e-Yaar Se Pehle



Hai Aadat Door Rehne Ki Agar Wo Saamne Aaye

Main Shaam-e-Zindagi Chaahoon Wisaal-e-Yaar Se Pehle..

Main Ourat Zaat Thehri Hon

Main Ourat Zaat Thehri Hon

Mujhe Masjid Nahi Jaaiz

Tum 5 waqat Jatay Ho

KHUDA se Maang Lo Mujh Ko.



Mein Duniya Mein Tumhare Hi liye Ai Hon.

Tujhe Main Mil Na Paon To Chura Le Zamane Se Mujh Ko.



Mein Teri Yaad Main Roti Hon Tujhe Hi Yaad Karti Hon.

Kbi To A K Mil Jao Tera Har pal Intizar Hy Mujh Ko.



Gire Jab Shaakh Se Toot K Sookhe Paty.

K Tere Bichar jane Ki Wo Lamhe Rolaty Hain Bohat MujhKo.



Tera He Hath aon Gi Agr Tum Laot Aye To.

Nahi Aye To Khuda Se Ye Dua Mangongi K Aa jaye Ab Maot Mujh Ko.



Main Ourat Zaat Tehri Hon Mujhe Masjid Nahi Jayaiz.

Tum 5 Waqt jate Ho Khuda Se Mang Lo Mujh Ko.

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...