23 Apr 2016

jab pyaar nahi hai tu bhulaa kiyon nahi detey.

jab pyaar nahi hai tu bhulaa kiyon nahi detey.
khat kis liye rakhey hain jalaa kiyon nahi detey.

kiss waastey likhaa hay hateli pe meraa naam.
main harf-e-ghalat hon tu mita kiyon nahi detey.

Lil-laah iss shab -o- Rooz ki uljhan sey nikaalo.
tum merey nahi ho to bataa kiyon nahi detey.

Reh reh ke na tadpaawo ae be-dard maseeha.
haathoon se mujhe zeher pila kiyon nahi detey.

jab is ki wafawoon pe yaqeen tum ko nahi hai.
Hassrat ko Nig'gaahoon sey Giraa kiyon detey.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...