21 Apr 2016

main jisko dhoond raha ta nazar K raste main.

Nazar may zakhm-e-tabasum chupa chupa k mila.
Khafaa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila.

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe bhi Hansta Tha. 
Sittam Zareef Mujey Aayina Dikhaa Ke Mila.

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor.
Main Apni Moat Ko Aksar Galey Laga K Mila.

Main us se Mangta kia khoon baha jawani Ka.
Ke Wo Bhi Aaj Muje Apnaa Ghar Lutta k mila.

main jisko dhoond raha ta nazar K raste main.
Mujhe Milaa Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...