19 Apr 2016

Ab Tere Merey Beech koi fasila bhi ho.

Ab Tere Merey Beech koi fasila bhi ho.
ham loog jab milein tu koi dossraa bhi ho.

tu jaantaa nahi meri chaahatt ajeeb hay.
mujh ko mana raha hay kabhi khod khafa bhi ho.

tu bewafa nahi hay magar bewafaayi kar.
uss ki nazar mey rehne ka koi silsila bhi ho.

pat jarrh ke toot-the hoye patoo ke sath sath.
mosam kabhi tu badlega ye aasraa bhi ho.

chup chap uss ko beth ke dekho tammam raat.
jaagaa howaa bhi ho koi sooya howa bhi ho.

uss ke lie tu main ne yahaa tak dua'aien ki.
Meri tarhan se koi ussey chaahtaa bhi ho.



_________________

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...