22 Apr 2016

Jaltay honton pe tabassum jo machalta hai kabhi.

Jaltay honton pe tabassum jo machalta hai kabhi.
Zakham dhuljate hain sawan jo barasta hai kabhi.

Maine sochon main tarashe hain khadokhaal tere.
Mere baray main bata tu ne bhi socha hai kabhi.

Charhtay sooraj say kabhi tu ne milai hay nazar?
Tu ne kirn'on ki taraf ghaur say dekha hai kabhi.

log pather main khilatay hain umeed'on k gulaab.
ye bhi mumkin hai? bata aisa bhi hota hai kabhi.

Tuo ney samjhaa tha main lawut ke Aa jawonga.
Ankh say bichdha huwa Ashk bhi lauta hai Kabhi.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...