23 Apr 2016

ajeeb dard kaa rishtaa hay saari duniyaa main

Na khuf-e-Barq na khauf-e-sharar lage hay mujhe.
khud apne baagh k phoolon se dar lage hay mujhe.

ajeeb dard kaa rishtaa hay saari duniyaa main.
kaheen ho jalta makaan apna ghar lage hay mujhe.

main eik jaam hon kis kis ke hount tak phunchoon.
Ghaz'zab ki piyaas liye har bashar lagey hay mujhe.

Taraash letaa hoon uss sey bhi Aayinaa ' Manzoor '
Kissi Key Haath Kaa Pat'thar Agar lagey hay mujhe.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...