Mujhey woh door apney sey kabbhi honey nahi deta.
Wo meri neend kaa dushman mujhe soney nahi deta.
Woh jiss sey pyaar hotaa hai wohi ham ko rulata hai.
Jou ham se pyaar kartaa hai hamain roney nahi deta.
Bicharrtey waqt tum ne ye kaha tha "hans k jee lena".
Tumhaaraa be'reham waadaa mujhe roney nahi deta.
ajab ik kash'ma'kash me usne mujh ko daal rakha hai.
Wo Meraa hai Magar Apnaa mujhey honey nahi deta.
Ye sach hai zamaney se alag gumsum sa rehta hoon.
magar main aap ko aankhon se gum honey nahi deta.
Zamaaney se alag sab se chupa kar dil ma rakha hai.
khazaana aap ki yaadoon ka main khooney nahi deta.
Khuda ne kuch na kuch Mutrib hamaare bas main rakha hai.
Magar woh apni marzzi key binaa hon-ney nahi deta.
No comments:
Post a Comment