30 Apr 2016

Tumhari khatir jo sari dunia ko chhor aaya...

Hmari hasti mita rahe ho, tumhari marzi...
Nishan-e-ibrat bana rahe ho, tumhari marzi...

Mere jigar mai jafa k khanjer utaar kar tum...
Wafa k naghme suna rahe ho, Tumhari marzi...

Tumhari khatir jo sari dunia ko chhor aaya...
Usi se daman chhura rahe ho, Tumhari marzi...

Meri umeedon k ashiyanay uj'jar kar tum...
Kisi ki dunia basa rahe ho, Tumhari marzi...

Tumhara deedar ek bahisht~e~nazr hai lekin...
Tum apna chehra chupa rahe ho, Tumhari marzi...

kitna aasan tha apnay se juda ho jana

Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya
ham ne apne ko tamasha kabhi hone na diya

ham ko iss gardish e daura'n ne kahee'n ka na rakha
phir bhi apne ko shikasta kabhi hone na diya

mai-kaday mai barhe kam zarf thai peenay walay
aankh ko saagar o meena kabhi hone na diya

kitna aasan tha apnay se juda ho jana
ishq mai zehen ka sauda kabhi hone na diya

roz jalna hai isay roz jalana hai isay
aatish e shauq ko thhanda kabhi hone na diya

umr rishto'n k taqazon ko nibha bhi na saki
zindagi ne mujhay apna kabhi hone na diya

sab se mehfooz maqaam, gham e tanhai hai
fikr e dunya ne akaila kabhi hone na diya

Roz Aate Hain Mujhe Yaad Tere Zulm-O-Sitam

Kab Nahin Naaz Uthaye Hain Tumhare Mene
Dekho Aanchal Pe Sajaye Hain Sitare Mene

Wohi Lamhaat Asaasa Hain Mere Jeevan Ka
Jo Tere Qurb Mein Lamhaat Guzaarey Mene

Roz Aate Hain Mujhe Yaad Tere Zulm-O-Sitam
Roz Khanjar Keyi Seeney Mein Utare Mene

Har Bahana Tera Aankhon Mein Saja Kar Rakha
Apne Seeney Se Lagaye Tere Laaray Mene

Meri Pooron Se Mehek Ati Rahi Hai Din Bhar
Jab Bhi Khawbon Mein Tere Baal Sanwarey Mene

Teri Chokhatt Pe Keyi Baar Huyi Mujh Ko Shikast
Teri Dehleez Pe Aansu Keyi Haarey Mene

Meri Awaaz Akeli Hi Palat Kar Aayi
Jab Musibat Mein Kabhi Yaar Pukarey Mene

Ye Jo Chehre Se Tumhen Lagte Hain Beemar Se Hum

Ye Jo Chehre Se Tumhen Lagte Hain Beemar Se Hum
Khob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum

Yar Ki Aankh Main Nafrat Ne Hamain Qatl Kiya
Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwaar Se Hum

Ranj Har Rang K Jholi Main Bhare Hain Hum Ne
Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazaar Se Hum

Ishq Main Hukm Adooli Bhi Hamain Ati Hai
Talne Wale To Nahi Hain Tere Inkaar Se Hum...

29 Apr 2016

Agr Oratain bhi Mardon ko Ghairat Ke Naam Per Qatal karna shoro kar dain to..

Agr Oratain bhi Mardon ko Ghairat Ke Naam Per Qatal karna shoro kar dain to..
Mardon ki Nasal bhi Aese hi Nayab ho jaye Jaise Kale Heran ki.

Funny but True

Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na,


Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na,
Aaj Mujh Pey Inaayat Kar Do Na,

Zara Chupkey Se Khaamoshi Sey,
Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na,

Khud Ko Kar Ke Deewana Sa,
Mera Pyaar Amar Tum Kar Do Na,

Main Pyaas Mein Dooba Sehra Hoon,
Tum Mujh Ko Samandar Kar Do Na,

Main Yun Hi Phirta Hoon Dar-Ba-Dar,
Tum Khud Ko Manzil Kar Do Na.. !

Tujhey Bhol Jao'n Tu Kis Terha...


Tujhey Bhol Jao'n Tu Kis Terha...

Abhi Chahtou'n Ka Shaor Hy
Abhi Faslou'n Mei'n Saror Hy
Abhi Hoslou'n Mei'n Garor Hy
Tujhey Bhol Jaon Tu Kis Tarha

Abhi Soch Hy Teri Zaat Tak,
Abhi Yaad Hy Teri Yaad Tak,
Abhi Raat Hy Teri Baat Tak,
Tujhey Bhol Jao'n Tu Kis Tarha

Abhi Bad-Gumani..... Gumaa'n Hy
Abhi Khwahishou'n Mei'n Uraan Hy
Abhi Jism Hy............ Abhi Jaan Hy
Tujhey Bhol Jao'n Tu Kis Tarha....

Hum tera hath chor detay hain.


Hum tera hath chor detay hain.
Umar �har ka sath chor detay hain

Tum apni taqdeer se humain Juda kar do.
Hum tumhari �at chor detay hain.

Agar kar lo iqrar sath chalnay ka.
Hum apni zat chor detay hain.

Apne Nam ka humain Leibada dy do.
Hum apni okaat chor dety hain.

Aik hi �ar utar aao Rooh main.
Hum roz roz ki mulaqat chor detay hain.....

Mujhay Aazad Kar Do Na


Mujhay Aazad Kar Do Na"

K Main Hoon Qaid Barson Say

Judai Ki Aziyat Mein

Zehar Bhar Day Gi Ye Zalim Duniya

Meri Nazuk Tabiyat Mein

Na Do Ab Hosla Mujh Ko

Bata Do Raasta Mujh Jo....

Koi Bahir Niklanay Ka

Hawa Mein Phir Say Urnay Ka

Mujhay Us Dais Jana Hai...

Jahan Panchhi Utartay Hain

Jahan Mosam Badaltay Hain

Meri Banjar C Aankhon Mein

Meri Be-Taab Saanson Mein...

Koi To Rang Bhar Do Na

Mujhay Aazad Kar Do Na,

Mujhe Aazad Kar Do Na....

Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain


Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain
Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain

Taab anjam-e-muhabba t ki bhala kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain

Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain

Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain?

Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei,
Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain

Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey
Dil yahin,hasrat-e- prwaz mein rakhay huay hain

Ham to hain aab-e-zar-e-ish q say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain...

Zara Si Rat Dhal Jaye Tu Shayad Neend Ajaye...


Zara Si Rat Dhal Jaye Tu Shayad Neend Ajaye...

Zara Sa Dil Behal Jaye Tu Shayad Neend Ajaye...

Abhi To Kurb Hai,Be-Chaini Hai,Be-Qarari Hai,

Tabiyat Kuch Sanbhal Jaye To Shayad Neend Ajaye...

Abhi To Narm Jhonkon Me Chupi Hein Apno Ki Yadein,

Hawa Ka Rukh Badal Jaye To Shayad Neend Ajaye..

hum hijar k rasty pr safar kar nahi saktey


hum hijar k rasty pr safar kar nahi saktey
eik lamha tere bin basar kar nahi saktey

wo akhri lamhoon main mjhe mang raha hai
yeh wakt hai aisa k uzar kar nahi saktey

hum iss liye Khuda se khafa ho nahi saktey
shikwa bhi kis liye jo shukar kar nahi saktey

khud hath se apney osse khona hi parey ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi saktey

yun apni nigahoon ko chura letey hain tujh se
k dil k iradoon ki khabar kar nahi saktey

tum khawab jalatey rahe hum aj tak chup they
ab dil k yoon jalney pr hum sabar kar nahi saktey

yeh ankh andheroon main hovi piyas ka sehra
is noor k darya pr sabar kar nahi saktey

har chand k meri ankh main ansoo hain larztey
jaltey hovey sholey pr asar kar nahi saktey

jab chahin ge tu bandh lain gey tumhain apni nazar se
kis ne kaha k hum sehar kar nahi saktey

28 Apr 2016

Tum Aksar Pochte Thy NaJo Hum Bichre To kya Ho Ga

Tum Aksar Pochte Thy Na
Jo Hum Bichre To kya Ho Ga
Abhi Bhi Chand Takty Hai
Abhi Bhi Phool Khilty Hain
Abhi Bhi Dil Ke Darya Mein
Hazaro Dard Behty Hain
Abhi Bhi Kuch Nahi Badla
Magr Phir Bhi Kami Se Hai

Tumhare Bad Jana
Aankhon Mein Nami Se Hai

Ye Raat Tumhari Hai Chamkte Raho Taaro

Ye Raat Tumhari Hai Chamkte Raho Taaro.
Wo Aain Na Aain Magar Umeed Na Haaro.

Shayd Kisi Manzil Se Koi Qafila Aaye.
Aashfata Suro Subha Talak Younhi Pukaro.

Din Bhar Chale Ab Tu Zara Dam Lay K Chalen Gay.
Ay Hum'Safro Yahin Raat Guzaro.

Ye Aalam-E-Wehshat Hai
Tu Kuch Ho Hi Rahe Ga.
Manzil Na Sahi Sar Kisi Deewar Se Maaro.

Oujhal Hoye Jate Hain Nigahon Se Wo Do Aalam.
Tum Aaj Kahan Ho Gham K Sahaaro.

Khoya Hai Usay Jis Ka Badal Koi Nahi Hai.
Ye Baat Magar Kon Sune Laakh Pukaro.

Be-sabab saaye se juda rehna...

Be-sabab saaye se juda rehna... 
Usse poochhe koi khafa rehna... 

Sharm se dass gya sitaaro'n ko... 
Subah tkk shab ka be-ridaa rehna... 

Ae gham-e-yaar mere dil me sada... 
Soorat-e-lamha-e-dua rehna... 

Jalte sooraj se poochhta koi... 
Kaisa lagta hai be-qaba rehna...?? 

Kya mataa-e-yaqee'n sanwaarega... 
Shakk me ek umr mubtelaa rehna... 

Uski bakhshish ko kar gya afshaa'n... 
Mera masroof-e-iltejaa rehna... 

Soo-e-sahra sidhaariye MOHSIN... 
Sheher-e-afsurda dil me kya rehna...??

Usey kehna khawb ankhon se gaye neend ratoon se gai

Usey kehna khawb ankhon se gaye neend ratoon se gai

Tum gaye to laga zindagi hathon se gai

Ay Ishq Aa K Phir Se Naya Tajurba Kren

Ay Ishq Aa K Phir Se Naya Tajurba Kren 

Dil Bholny Laga Hai Purani Kahaniyan...........!

Phir wohii main hun,, wohii sheher-badar sannaata...

Phir wohii main hun,, wohii sheher-badar sannaata... 
Mujhko dass le na kahin khaak-basar sannaata... 

Dasht-e-hastii me shab-e-gham ki sehar krne ko... 
Hijr waalo'n ne liya rakht-e-safar sannaata... 

Kisse poochhu'n k kahan hai mera rone wala...??
Ek taraf main hun,, mere ghar se udhar sannaata... 

Tu sadaao'n k bhanwar me mujhe aawaaz to de... 
Tujhko dega mere hone ki khabar sannaata... 

Usko hangaama-e-manzil ki khabar kya doge...?? 
Jisne paaya ho sar-e-raahguzar sannaata... 

Haasil-e-kunj-e-qafas,, wehem-ba-kaf-tanhaayii... 
Ronaq-e-shaam-e-safar,, taa-ba-sehar sannaata... 

Qismat-e-shaair-e-seemaab-sifat dasht ki maut... 
Qeemat-e-reza-e-almaas-e-hunar sannaata... 

Jaan-e-MOHSIN meri taqdeer me kb likha hai...?? 
Doobta chaand,, tera qurb,, gajar,, sannaata....!!

banda to gunahgar hai rehman hai maula


banda to gunahgar hai rehman hai maula
bande pay karam karna teri shaan hai maula

banda hun tera ghum ki mere tujh ko khabar hai
har dam mere muala teri remat pay nazar hai
main nay bhi jhokaya usi dheliz pay sar hai
maula tere mehboob ki beti ka jo dar hai
is dar ka to jebril bhi darban hai maula

dar chor k tera kahan banda tera jaye
darbar me tere hun khara sar ko jhokaye 
aasi tera ehsan bhala kaise bholaye
tune hain zamane se mere aeb chopaye
makhlokh pr tu kitna merban hai maula

maula mujhe rebar jo aata tune kiye hain
soraj se bhi roshan wo tere 14 diye hain
maula jo sada teri raza ban k jeye hain
masoom wo kafi meri bakshish k liye hain
anmol tera mujh pay ye ehsan hai maula

saaye me mili jis k marizon ko shifa hai
maula wo aalam pak mere ghar pay saja hai
aksir mujhe is k phareray ki hawa hai
lareb ye parcham teri rehmat ki rida hai
parcham ye mere dard ka darman hai maula

honton pay mere AaL-e-PAYAMBAR ki saana hai
shamil mere is khon me haider ki weela hai
shaber ki is dil me bhichi farsh-e-aaza hai
seenay pay mere tamgha e matam bhi sajha hai
bakhsish ka mere pas ye samaan hai maula

banda to gunahgar hai rehman hai maula
bande pay karam karna teri shaan hai maula

Nadeem Sarwar

27 Apr 2016

Pathar Bhi Nahi Ab Woh, Sitara Tha Jo Ek Shaks,

Gumsum Howaa Awaaz Ka Dariya Tha Jo Ek Shakhs
Pathar Bhi Nahi Ab Woh, Sitara Tha Jo Ek Shaks,

Shayad Woh Koi Harf-e-Wafa Dhoondh Raha Tha
Chehron Ko Bare Gor Se Parhta Tha Jo Ek Shaks,

Sehraa Ki Tarah Dair Se Piyasa Tha Woh Shayad
Badal Ki Tarah Toot Kay Barsa Tha Jo Ek Shaks,

Aye Tez Hawaa Koi Khabar Us Kay Januu Ki ?
Tanha Safar-e-Shaoq Pe Nikla Tha Jo Ek Shaks,

Ab Aakheri Satron Mein Kaheen Naam Hai Uk Ka
Ahbaab Ki Fehrist Mein Pehla Tha Jo Ek Shaks,

Hathon Mein CHupaye Howe Pherta Hai Kai Zakhm
Sheeshe Kay Khelon Se Behlta Tha Jo Ek Shaks,

Mur Mur Kar Usay Dekhna Chahen Meri Aankhen
Kuch Door Mujhe Chorne Aaya Tha Jo Ek Shaks,

Ab Us Ne Bhi Apna Liye Duniya Kay Qareene
Saaye Ki Rafaqat Se Bhi Darta Tha Jo Ek Shaks,

Har Zehn Mein Kuch Naqsh-e-Wafa Chor Giya Hai
Kehne Ko Bhare Shaher Mein Tnha Tha Jo Ek Shaks,

Munkar Hai Ab Wohi Meri Pehchan ka "Mohsin"
Aksar Mujhe Khat Khoon Se Likhta Tha Jo Ek Shaks....

Usse itna na socha ker. teri aadat na ban jaye,

Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin,
Zara thokar jo lag jaye sanbhalna bhi nahi mumkin,

Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye,
Ke ab bheegi hui aankhon ko malna bhi nahi mumkin,

Milay hain baad muddat k, balaa k sard hain lehje,
Ke jalna bhi nahi mumkin. pighalna bhi nahi mumkin,

Ta'alluq toot jaane se umeeden toot jaati hain,
Dilon mein hasraten le ker behalna bhi nahi mumkin,

Bohat nakaamian le ker hua hoon khaak ka qaidi,
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,

Usse itna na socha ker. teri aadat na ban jaye,
Phir aisi aadaten Mohsin, badalna bhi nahi mumkin..

Aarzu Kay Shokh Rango Kay Bekhar Jaane Ka Bad

Aarzu Kay Shokh Rango Kay Bekhar Jaane Ka Bad
Yaad Aaenge Yeh Din Tumhen Guzar Jaane K Bad,

Be-Hisi Kay Is Bhayanak Dor Mein Aye Dosto
Yaad Aayega Kayse Ab Kon Marr Jaane Kay Bad,

Ab Koi Insaan Dharti Pe Nazar Nahi Aata
Kho Giya Hai Yeh Khalaa Mein Chand Pe Jane K Bad,

Muskurati Aankh Se Tujhko Kahoonga Al-Widaa
Haan Magar, Aansu Bahaonga Ghar Jaane K Bad,

Waqt Le Kar Aagiya Hai Pher Purani Uljhane
Meri Qismat Ki "Zia" Zulfen Sanwar Jaane K Bad....

Ajab Nahi K Kisi Roz Main Badal Jaaon

Ajab Nahi K Kisi Roz Main Badal Jaaon
Jo Dekhta Hoon Inhi Aayeno Men Dhal Jaon,

Boht Dino Se Koi Zakhm Hi Nahi Khaaya
Main Sochta Hoon Tere Paas Aaj, Kal Jaon,

Yeh Log Yoon Hi Nahi Ho Gaye Khelaf Tere
Kisi K Saath Jo Dekhon To Main Bhi Jal Jaon,

Usay Yeh Dar Hai K Zamane Ki Thokren Kha kar
"Hssan" Kaheen Main Na Ab Sanbhal Jaaon....

Youn Shikaston se Darr Nahi jaaty,

Youn Shikaston se Darr Nahi jaaty,
Koi Bichrry To mar nahi jaaty,

Aankh Khulny Se Toot'ti hai Neend,
Khwaab gir Kar Bikhar Nahi jaaty,

Main Urraanen To Kab Ki BhooL Chuka,
Bus Mery BaaL-o-par Nahi jaaty,

Mery ghar par Wo Likh gaya Kal Shab,
Dar Khula Chorr Kar Nahi jaaty,

Baat ! Go ZindaGi Se Lambi HaI Or Sunani Hai Ek Misry Mein

Baat ! Go ZindaGi Se Lambi HaI Or Sunani Hai Ek Misry Mein...!
!... Dekh Harfon Mein Baandh Laya Hon ZindGani Ek Misry Mein...!

Kuch Hawaly Hein Meri Maazi K, Umr-E-Rafta Ki Baat Hai Is Mein...
Mere Bachpan K Chand Qisse Hein Or Jawani Hai Ek Misry Mein..

Hein To Dono'n AlaG MaGr Phir B Na-Mukammal Hein Ek Dooje Bin,,
Tera Raja Hai Ek Misry Mein, Meri Rani Hai Ek Misry Mein,,

Tere Gham Mein Dibo K Likhi Hai Aansuo'n Mein BhiGo K Likhi Hai,,
Dekh Poori Ghazal Nhi Sookhi, Dekh Paani Hai Ek Misry Mein..

Ishq Mein Jo Kitab Likhte Hein.... Or Hon'Ge Wo Mein Nhi Aatif,,
Apni Barso'n Ki Jo Kamai Hai Chorr Jani... Hai Ek Misry Mein.........*

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,

Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,

Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,

Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,

Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho,
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,

Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se,
Jo tu paas ho to usey door kar doon,

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,

Yeh be'rangiyan kab tak, ay hussan rangeen,
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,

Tu agar samney ho to mein be'khudi mein,
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,

Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar,
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon...

JAAN meri udaas kyun ho

Mizaaj barham Khafa Sa lehja
Udas chehra
naraz ankhen
Waja jo poochi mane us se
JAAN meri udaas kyun ho?
...
Q ho barham?
Naraz q ho?
Bhar k chalki aankhen uski
Larkhara k galy Se lag kar
"Mujh say Boli"
Kahan gaye thay?
Q gaye thay?
Mujhy batao
tumhary bin jo be'basi thi
Elaaj uska bata K Jatay,
tum jo bichro kahan main dhoondon?
Suraagh apna bata K Jatay,
Tumhain pata tha Tmhary bin main
aik Pal b reh nahi sakti
Chahay bichray duniya Sari
Teri judai Seh Nahi sakti
Tumhain qasam hai ab na jana
mar jaon gi tumhary bin main
Chalo Ab mujh sy Wada kar lo
Kahin bhi jao
Kabhi bhi jao
Saath mujh ko lay K Jana..

26 Apr 2016

Wo rooth'ta hay kabhi dil dukhaa bhi detaa hay.

Wo rooth'ta hay kabhi dil dukhaa bhi detaa hay.
Mein gir parroon tu mujhey hoslaa bhi deta hay.

Woh meri raah mein patthar ki tarah rehtaa hay.
woh meri raah sey patthar hat'tta bhi detaa hay.

Bahut Khulooss jhalaktaa hay tanz main uss key.
Wo mujh pe tanz ke nashtar chalaa bhi deta hay.

Mein khud ko bhol na jawon batak na jaon kahin.
Woh mujh ko aa'yina laa ker dikha bhi detaa hay.

Ussey azeez hein ghazlein meri, merey Aash'aar.
Woh merey shair mujhi ko sun'naa bhi detaa hay.



_________________

Aik Umar ke rukey howey Aansoo nikal paray.

Yeh soch kar ke teri jabeen par naa bal padey.
Basss dooor hi sey dekh liyaa aour chal paray.

dil may pir aik kasak si uthi mudatoon ke baad.
Aik Umar ke rukey howey Aansoo nikal paray.

Seeney main beqaraar hain murda muhabatin.
Mumkin hay ye charagh kabhi kho hi jal paray.

Aey dil tujhe badalti howyi root se kiyaa milaa.
Pawdhon main phol or darakhton main phal paray.

Ab kis ke intazaar main jaagein tammam shab.
woh saath ho tu neend main kese khalal paray.

"SHEHZAD" dil ko zabt ka yaara naheen raha.
Niklaa jo Mahtaab tu sammandar uchal paray.

Palat ke aa ke yeh aazaar phir rehey na rehey.

Palat ke aa ke yeh aazaar phir rehey na rehey.
Jo aankh ab hai talabgaar phir rehey na rehey.

Nigaah ker inn hi taareekioon ke mausam mein.
Mujhey yeh roshni darkaar phir rehey na rehey.

Samait lon terey chehre ki taab aankhon mein.
Ye manzar-e-shafaq aasaar phir rehe na rehey.

Kabhi tau pooch kissi An-kahi key baarey mein.
Ke dil mei khawahish-e-izhar phir rehe na rehey.

Ye raah-e-dil abhi taza hai yaar-e-narm qadam.
Guzar ye raah bhi hamwaar phir rehey na rehey.

Yeh soch lo ab aakhiri saaya hai Mohabbat.

Bheegi hui aankhon ka ye manzar na miley ga.
Ghar chorr k matt jaao kahin ghar na miley ga.

Phir yaad bahut ayegi zulfoon ki ghani chavun.
Jab dhoop mein saaya koyi sir per na miley ga.

aansoo ko kabhi aoos kaa qatra naa samajhna.
Aisa tumhein chahat ka samandar na miley ga.

Is khwab k mahool me be-khwab hein ankhein.
Jab neend bohoot aaye gi bister naa miley ga.

Yeh soch lo ab aakhiri saaya hai Mohabbat.
Iss dar sey uttho gey tu koi dar na miley ga.

Rasm-e-ulfat sikha gaya koi..

Rasm-e-ulfat sikha gaya koi..
dil ki duniya pe cha gaya koi.

ta qayamat kisi tarah na buje.
aag aissi laggaa gayaa koi.

dil ki duniya ujaad si kyun hai.
kya yahan sey chala gaya koi.

Waqt-e-ruKhsat gale laga kar "Daag".
hansate hansate rula gaya koi.

Tumhari aankhein kehti hein hisaar-e-zaat se niklo.

Tumhari aankhein kehti hein hisaar-e-zaat se niklo.
tamanna meri ban jawo, shab- e -barbaad se niklo.

kinaaraa thaam lo dil ka bhulaa do har gilaa shikwa.
Kabhi sachi hanssi hanss dou puraani yaad se niklo.

Khayaal-e-yaar achaa hai magar jiss ne wafa na ki.
Palat kar phir sadaa naa do, dar-e-faryaad se niklo.

Nahin koyi muhabbat bhi, hijr rut bhi, raqaabat bhi.
yeh dharka sa kya kahiye, weham ki ghaat se niklo.

Nahin tum ko gawaaraa ab hamara qurb to keh do.
Hamaarey karb ki chhorro, tum is gardaab se niklo.

Sar-e-maqtal jo jate ho, na ho darmaandgi kuch bi.
Zamana daikh ke tham jaye, kuch is andaz se niklo.

25 Apr 2016

Miley baghair bicharrna bhi uss ki aadat thi.

Miley baghair bicharrna bhi uss ki aadat thi.
Miley tu baat naa karna bhi us ki aadat thi.

dilloon main phailta jata tha roshni ki tarah.
Utarte Rooh main rehna bhi us ki aadat thi.

saddaye dil ko naa nok-e-zuban karna tha.
chuppa ke pyar jattana bhi us ki aadat thi.

wo meri dastras may rahe na rahe ban k khalish.
Dilloon ke taar hilaanaa bhi us ki aadat thi.

Jalnay lagi lahoo main judayee to ro diye.

Jalnay lagi lahoo main judayee to ro diye.
Tanhaaiyoon ne khaak uraaee to ro diye.

Chehre ne tera roag chupaya to hans diye.
Aankhoon ney teri yaad manai to ro diye.

Khushboo ne koi yaad dilaya tarap uthay.
Phooloon ney daastaan sunaee to ro diye.

Guzra hai hum pe khud yehi aalam iss liye.
Hansney lagi kissi pe khudaayi to roo diye.

Raas aa chuki thi teeigi-e-shab kuch is terha.
Ger shamaa bhi kisi ne jalaayi to roo diye.

Us ki Ankhoon mai umand aate hain Aanso Tabish

Toot jaane main khilonoo'n ki taraah hotaa hay.
Aadmi ishq main bachoon ki taraah hotaa hay.

Is lie mujh ko pasand ata hai sehra ka sakoot.
Uss kaa nashaa tairi batoo'n ki tarah hota hay.

hum jise ishq mai dete hain khuda ka mansab.
Pehley pehley hamin logoo'n ki tarah hota hay.

Jiss say ban'naa ho taaluq wohi zaalim pehlay.
Ghair hotaa hai naa apnoo'n ki tarah hota hay.

Chandani ratoon mai sarkoon p qadm mat rakhna.
Sheher jagay howay naagoo'n ki tarah hota hay.

Bus yehi dekhne ko jagte hain tere shehar k log.
Aasmaan kab tairi aankhoo'n ki taraah hota hay.

Us se kehna k wo sawan main na ghar sai nikle.
Hafizaa ishq kaa saanpoo'n ki taraah hotaa hay.

Us ki Ankhoon mai umand aate hain Aanso Tabish
Woh judaa chaahney waloon ki tarah hota hai.

Muhabbat jis ko kehte hain wo nemat or hoti hay.

Aqeedat our hoti hay mur-rawat our hoti hay.
muhabbat jis ko kehte hain wo nemat or hoti hay.

qayamat khez manzar jo hazaro ham ne dekhe hain.
jo dil pe toot thi hay wo qayamat our hoti hay.

Maheeno bad milne ki khoshi apni jagaah muhsin.
wo zalim jab bicharrta hay tu haalat our hoti hay.

sitaarey tim timatey hain tau koi yaad aata hay.

sitaarey tim timatey hain tau koi yaad aata hay.
Nazare geet Gaatey hain tau koyi yaad aata hay.

usse aana nahi wapas magar pir bi ye hath apne.
Dua ko jab bi Utth-te hain tau koi yaad aata hay.

kabhi jugnu kabhi taare kabhi gunche kabhi badal.
hamaara dil jalaatey hain tau koyi yaad Aata hay.

boht koshish se bi ham us sitamgar ko nahi bhule.
kaheen bi dil lagate hain tau koyi yaad aata hay.

abhi rusto'n mai bikhri hai mehek pehli rafaqat ki.
kisi se milney jaate hain tau koyi yaad aata hay.

hamaari shaayri pe abb bhi usski hukmarani hay.
ghazal jab bi sunate hain tau koi yaad aata hay.

Haqiqaton pe hay duniaa ko airtaaz bohat

Haqiqaton pe hay duniaa ko airtaaz bohat
Ke hay mizaj-e-zamana fasana saaz bohat

Tera ghuror �e- ibadat tujhe na ly doobay
Suna hy parhta tha iblees bhi namaz bohat

Ye keh rahe the kal awargan-e-kucha-e-yaar
Adaaein aaj bhi hain uski dill-nawaz bohat

Unhein shaoor�e-mohabbat nahi khuda ki kasam
Jo loug hain teri mehfil mein sarfraaz bohat

Meri khushi ka zamaana hawa ka jhonka tha
Merey ghamoon ki rahi zindgai daraaz bohat

Yeh husn-o-ishq ka johar hay aur kuch bhi nahi
Wo khud-pasand bohat hain main be-niaz bohat

Koi Ja Kar Zara Poochay Muhabbat Kaisi Hoti Hai

Koi Ja Kar Zara Poochay
Muhabbat Kaisi Hoti Hai
Muhabbat Kaisay Hoti Hai
To Shayed Yeh Batayein Woh
Muhabbat Rab Ka Tohfa Hai
Jo Qismat Say Hi Milta Hai

Muhabbat Jin Pay Warid Ho
Isharoon Say Batati Hai
Kabhhi Yeh Gudgudati Hai
Kabhi Pehroon Rulati Hai

Jo Aanso Dil Say Behtay Hain
Unhein Bas Dil Mein Rakhtay Hain
Chalaknay Bhi Nahin Detay
Go Aankhein Khoon'Fishaan Bhi Hoon
Muhabbat Muskurati Hai
Laboon Par Gul Khilati Hai

Aseeran-e-Muhabbat Ko 
Rihayi Bhi Nahin Milti
Muhabbat Kay Aseeroon Ko 
Yeh Chahat Hi Nahin Rehti
Jo Sarshar-e-Muhabbat Hoon
Unhein Kab Sojhta Hai Kuch

Bas Ik Chehra

Aur Us Kay Naam Ki Khushboo
Unhein Mehsoos Hoti Hai
Jisay Khud Mein Bisatay Hain
Yehi Ik Geet Gatay Hain
Hamari Khush-Naseebi Hai

Aseeran-e-Muhabbat Hain...

Ankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha AB

Ankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha AB
Sach hai Mera Sambhalnaa mumkin nahi rahaa AB

Jaatey huwey thi uss ki aankhoon mein jo udaasi
Woh keh rahi thi millnaa Mumkin Nahee rahaa AB

Kiss ko kahein mohabbat kiss ko kahein fasaana. 
Yun aatebaar karnaa mumkeen nahee rahaa AB.

Thi tark-e-talluq ki ab ibtadaa zaroori 
Shaayed ke saath chalnaa mumkin nahi raha AB.

Abb intezaar kyuon hai dil beqaaraar kyuon hay.
Uss kaa to lowt aanaa mumkeen nahee raha AB.

Hai her taraf andheiraa russ-waiyon ka dar hay.
Ghar sey baahar nikalnaa mumkin nahi rahaa AB.

24 Apr 2016

ALLAH wo hai jo Whale Machli ko Rozana samandar mein 33 Ton gosht khilata hai

ALLAH wo hai jo Whale Machli ko Rozana samandar mein 33 Ton (yaani 33,000 kg) gosht khilata hai "Subhan Allah"

To phir hum sirf 2 roti ke liye pareshan kyon Hote hain.
To sirf Allah se maango, NAMAZ ki fikar Apne Upar Farz Kar lo, Duniya Ki Fikar Se Azad Ho Jaoge, aur Kaamyabi Tumhare Qadam Chumegi. ameeeeeen

Wo raha dil mein magar dil ko dukhane ke liye.

Wo raha dil mein magar dil ko dukhane ke liye.
ham ko eik shakhs milla chorh kar jane ke liye.

Ham ne unn ko bhi tere hijer mein ro kar kata.
wo jo do din the mile hansne hansane ke liye.

bojh dhotaa rahaa mazdoor jo duniya bhar ka.
chaar kandhey na miley uss ko uthane ke liye.

dousti abb ke hawaawoon sey bhi rakhi jaaye.
ye Zaroori hai charaaghoon ko jalaane ke liye.

ye Tassali yeh dilasey mehez behlaawey hein.
kon jaataa hai Bhalaa Lout kar aaney ke liye.

Duniya ki taraf laut ke aanay ke nahin hum,

Duniya ki taraf laut ke aanay ke nahin hum,
Sach baat yeh hai tere zamaane ke nahin hum,

Awaaz mizaaji bhi tabiyat nahin apni,
Wese to kisi thikaane ke nahin hum,

Ik dard ki daulat hai jise banttay phiray,
Maalik bhi kisi aur khazaane ke nahin hum,

Tu ne to abhi khail ka aghaaz kiya,
Kirdaaar abhi tere fasaane ke nahin hum,

Kehte chale jaate hain kahani pe kahani,
Is qaid se baahar kabhi jaane ke nahin hum,

Shehzad dil o jaan pe jo guzri hai qayamat,
Woh zakham kisi ko bhi dikhaane ke nahin hum..

unn ki palkoon par sitaarey apne hoontoon pe hansi.

Hairatoon ke sil-siley souz-e-nihaan tak aa gaye.
ham nazar tak chahte the tum tu jan tak aa gaye.

Naa-muraadi apni qismat gham rahi apnaa nissaab.
kaarwaan ki khair ho ham kaarwaan tak aa gaye.

unn ki palkoon par sitaarey apne hoontoon pe hansi.
Qissa-e-gham kehte kehte ham kahaan tak aa gaye.

apni apni justujoo hay apnaa apnaa shouq hay.
tum hansi tak bi na puhnche ham fughan tak aa gaye.

rafta rafta rang laya jazba-e-khamoshi-e-Ishq.
woh taghaful kartey kartey Imtihaan tak aa gaye.

khud tumhain chak-e-garibaan ka sha'ur aa jayega.
tum wahaan tak aa tu jaawo ham jahan tak aa gaye.

aaj QABIL maikadey main Inqilaab Aaney ko hay.
Ahl-e-dil Andesha-e-sud-o-ziyaan tak aa gaye.

Har yaad ko yun zakham banatay nahin dil ka,

Har yaad ko yun zakham banatay nahin dil ka,
har Teer ko paivest rug-ge-jaan nahin kertay,

Yeh Maslaa Ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Merte hain to kuch aap pe ehsan nahin kerte,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhte rehtey hain paraishan nahin karte,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pe gulo ko,
Itnaa bhi to qaatil ko pashaimaan nahin kartay,

Kub shamain jalaata hai shab-e-mah main koyi,
tu ayai to ham ghar main charaghan nahin karte,

Loogon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaibaan nahin kerte,

Hum tu chale aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghaalib ki tarah minnat-e-darbaan nahin kertay,

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala.

Unn ko Tasavooraat mein Aaney nahi diya.
Haalaat Ney Yeh lut'uf uthaaney nahi diya.

Gham Mere sath sath bahut door tak gaye.
Shikwa magar zabaan pey Aaney nahi diya.

Dastaar Gir Gayi to Girey sar to bach gaya.
kuch behisso ko Zarf Khudaa ney nahi diya.

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala.
Aankhon ko phir bhi Ashk Bahane nahi diya.

majbooriyon ne pawon mein zanjeer daal di.
Ham ne khuoshi sey aap ko jaane nahi diya.

Main Khud Hi Apni Rah Ka Pathar bana raha.
aissaa nahee ke Saath Dua'a Ney Nahi diya.

'Shahid' Meri Saada Dilli ney Khabhi Mujhey.
Aayienaa doostoon Ko dikhaaney nahi diya.

23 Apr 2016

Abdul Sattar Edhi Quotes.

My religion is humanitarianism , which is the basis of every religion in the world.
Abdul Sattar Edhi

Raaton main gar na ashk bahawoon tu kia karon

Raaton main gar na ashk bahawoon tu kia karon.
Aik pal Bhi Uss Ko Bhool na Paawoon tu kia karon.

main ne Sunaa Hay unn ko andherey nahi pasand.
Raahon Main ab main dil na jalawoon tu kia karon.

Tum Hi Kaho ke Chorrh De jab zindagi bhi saath.
phir Moat ko Galey Naa Lagaawoon tu kia karon.

Socha Tu Tha ke Chorrh Doon uss ki gali MURAD.
Lekin Qaheen Qaraar Naa Paawoon Tu kiya karon.

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...