8 Aug 2016

Talism-e ishq tha sab Us k sath hone tak


Talism-e ishq tha sab Us k sath hone tak 
Khayal-e-dard na aaya nijaat hone tak 

Mila tha hijar k rastay me Subah ki manind 
Bichar gaya tha Musafir say raat hone tak 

Ajeeb rang badalti hay us ki nagri b, 
Her ik nehr ko dekha Faraat hone tak 

Wo iss kamaal se khelta tha ishq ki Bazi 
Me apni fatah Samajta tha Maat hone tak 

Me usko bhoolna chahu to kya krun 
Wo mujh me Zinda hai khud Meri ZAAT hone tak..

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...