kaho kia jal raha hai phir jahan me ashna is ka
nahi , jab dil sisakta hai to uthta hai dhowan uska
bhala kiyun phool ki pehchan banti hai mehak uski
suno sorajh ki kirno se hi milta hai nishan uska
kaho kia rahe ulfat me dil o jan war saktay hain
suno dil ki zameen uski nazar ka asman uska
bhala kab deni parti hai wazahat samne sab k
pata ja pochti hain aa k hum se doriyan uska
khata dono ki thi lekin saza kiyun eik ne pai
suno tanha tha dil apna magar sara jahan iska
suno is bewafa ki yaad to aati nahi ho gi
suno dil rok sa jata hai jo aata hai dhiyan iska
suno wo har jaga ja kar tumhain badnam karta hai
kaha ye jaan salamat hai rahe jari bayan iska
bichar kar kia kabhi socha us se milne k baray me
suno dharti k hum basi falak par hai makan us ka
No comments:
Post a Comment