8 Aug 2016

hoti hai kiyun ye aashqon ki barsat raat bhar


us ne kaha k kalyun ki mujh ko hai justoju
bhanwary se milti jolti hai main ne kaha ye kho

pocha batao dard ko cho kar laga hai kiya
aaya jawab poro se rasne laga laho

dekha hai kia falak pay wo tanha udas chand
aaya jawab is ko kisi ki hai justoju

hoti hai kiyun ye aashqon ki barsat raat bhar
aaya jawab aankhon ka hota hai yun wazo

pocha gaya naseeb k sorajh ka kia bana
main ne kaha wo so gaya aisa bana aadho

pocha nami si dhond si aankhon me kis liye
aaya jawab hijar ki in me hoi naamu

pocha icharte pal ki koi ankahi hai yaad
main ne kaha firaq ka sehra tha robaro

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...