28 Aug 2016

Abhi waqt hai abhi saans hai abhi loat aa Mere GUMSHUDA.


Abhi waqt hai abhi saans hai abhi loat aa 

Mere GUMSHUDA.

Mujhay naaz hai barey zabt ka mujhay khoob rula 

Mere GUMSHUDA..

Ye nahi k tere firaaq mein main ujar gaya ya bikhar gaya.

Han! muhabbaton pe jo maan tha wo nahi raha

Mere GUMSHUDA..

Mujhay ilam hai k tu chand hai kisi aur ka magr aik pal.

Merey Aasman-e-Hayat pe zara jagmaga

Mere GUMSHUDA..

Tere iltfaat ki barishein jo meri nahi to bata mujhay.

Tere Dasht-e-Chah mein kis liye mera Dil jala

Mere GUMSHUDA..

Ghaney janglon mein ghira hon main bara ghup andhera hai char soo.

Koi ik chiragh to jal uthay zara muskara,

Mere GUMSHUDA..

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...