21 Aug 2016

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaon apnay

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaon apnay
Apni ankhon say bhi mein zakham chupaon apnay

Mein to qaem hon teray gham ki badolat warna!
Youn bikhar jaon k khud hath na aaon apnay

Shair logon k bohat yaad hein auron k liyeh
Tu milay to mein tujhay shair sunao apnay

Sochta hon k bujha don mein yeh kamray ka diya
Apnay saye ko bhi kyun sath jagaon apnay

Us ki talwar nay wo chaal chali hai aesi
Paon kattain hein ager hath bachaon apnay?

Akhiri baat mujhe yaad hai uski Anwar
Rog is ka na main dil se lagaon apne

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...