8 Aug 2016

Jamal E Yaar Ko Tasveer Karnay Walay Thay


Jamal E Yaar Ko Tasveer Karnay Walay Thay
hum eik khawab ki tabeer karne walay thay

rahe janon me wo lamhe gawan diye hum ne
jo dard e hijar ko aksir karne wale thay

kahin se toot gaya silsila khayalon ka
kai mehel abhi tameer karne wale thay

phirr eik din mujhe is sehar se nikalna para
jahan sabhi meri toqeer karne wale thay

jo lamhe beet gaye hain rahe mohabat me
wo lohe waqat pay tehrir karne wale thay

charaagh le k inhai dhondiye zamane me
jo log ishq ki Toqeer karne wale thay

wohi charagh wafa ka bhojha gaye Asif
jo sehar khawab ki Tameer karne wale thay

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...