13 Aug 2016

Hasrat Bhari Nigaahon Ko Aaram Tak Nahi,

Hasrat Bhari Nigaahon Ko Aaram Tak Nahi,
Woh Yun Badal Gaya K Ab Salam Tak Nahi,
.
Jis Ki Talab Mein Zindagi Apni Guzaar Di,
Us Bewafa K Lab Pe Mera Naam Tak Nahi,
.
Jo Keh Gaye Thy Shaam Ko Bhaiten gay Aaj Phir,
Kai Saal Ho Gaye Koi Peghaam Tak Nahi,
.
Dafan Hun Tere Hijar Ki Ik Aisi Qabar Mein,
Kutbey Pe Jis K Aaj Koi Naam Tak Nahi,
.
Be Ikhtiyaar Uthtey Hain Mere Qadam Udhar,
Halaan K Us Gali Mein Mujhe Kaam Tak Nahi....

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...