10 Oct 2013

Ye Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaye

Ye Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaye

Wo Bhoot Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye



Ye Kin Nazaro'n Se Tum Ne Aaj Dekha

K Tera Dekhana Dekha Na Jaye



Hamesha K Liye Mujh Se Bichar Jaa

Ye Manzar Baaraha Dekha Na Jaye



Ghalat Hai Jo Suna Par Aazma Kar

Tujhe Ay Bewafa ! Dekha Na Jaye



Ye Maharomi Nahi Paas-E-Vafaa Hai

Koi Tere Siwa Dekha Na Jaye



Yehi To Aashna Banate Hain Aakhir

Koi Na'aashna Dekhaa Na Jaye



Apney Siwa Hai Kon Tera

Tujhe Tujh Se Juda Dekha Na Jaye.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...