11 Oct 2013

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat

Labon Pe Apne Saja Saja K,



Woh Naram Lehje Mein Baat Karna

Adab Se Nazren Jhuka Jhuka K.





Woh Aankh Teri Shararti Si

Woh Zulf Mathy Pe Nachti Si,



Nazar Hatay Na Aik Pal Bhi

Mein Thak Gaya Hoon Hata Hata K.





Woh Tera Haathon Ki Ungliyon Mein

Mila K Zulfon Mein Kho Sa Jana,



Haya K Chehrey Pe Phir Sajana

Phool Chehra Khila Khila K,



Woh Haath Hooron K Ghar Hoon Jese

Woh Paaon Pariyon K Par Hoon Jese,



Nahi Hai Teri Misaal Jana

Main Thak Gaya Hoon Bata Bata K,.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...