12 Oct 2013

Ghamza Nahin Hota K Ishaara Nahin Hota,

Ghamza Nahin Hota K Ishaara Nahin Hota,

Aankh Un Se Jo Milti Hai To Kiya Kiya Nahin Hota.



Jalwa Na Ho Ma'ni Ka To Soorat Ka Asar Kiya?

Bulbul Gul-e-Tasveer Ka Shaida Nahin Hota.



ALLAH Bachaay Marz-e-Ishq Se Dil Ko.

Sunty Hein Ke Ye Aariza Achha Nahin Hota,



Tashbeeh Tery Chehry Ko Kiya Doon Gul-e-Tar Se,

Hota Hai Shagufta Magar Itna Nahin Hota.



Main Naz'a Mein Hoon, Aaen To Ihsaan Hai Un Ka,

Lekin Ye Samajh Lein K Tamaasha Nahin Hota.



Hum Aah Bhi Kartay Hein To Ho Jaatay Hein Bad_Naam,

Wo Qatal Bhi Kartay Hein To Charcha Nahin Hota.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...