12 Oct 2013

Main Shagufta Lab-e-Izhaar Kahan Se Laun.

Main Shagufta Lab-e-Izhaar Kahan Se Laun.

Ishq-o-Romaan K Azkaar Kahaan Se Laun.



Qissa-e-Talkhi-e-Doran Main Suna Sakta Hoon

Dastan-e-Lab-o-Rukhsaar Kahaan Se Laun.



Apne Ehsas Se Main Jhoot Kahaan Tak Bolun

Shair Mein Shokhi-e-Afkaar Kahaan Se Laun.



Main Ghazal-Go Hon, Qaseeda To Nahi Keh Sakta

Kiya Karon Lehja-e-Darbaar Kahan Se Laun.



Saut-o-Alfaz Ki Zarbat Pe Bharosa Hai Mujhe

Main Tahi'Dast Hon Talwaar Kahan Se Laun.



Main To Bik Sakta Hon Sirf Aik Tabasum K Iwaz

Lekin Ab Aise Kharidar Kahan

Se Laun.



Gham'zada Log To Mil Skte Hain Jitne B Chaho MOhsin"

Magar Aj K Daur Me Ghamkhwaar Kahan Se Laun.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...