9 Oct 2013

Maroon To Main Kisi Chehrey Mein Rang Bhar Jaoon,

Maroon To Main Kisi Chehrey Mein Rang Bhar Jaoon,

Kaash Mein Yehi Ek Kaam Kar Jaoon.



Ye Dasht-e-Tark-e-Muhabbat Ye Tere Qurb Ki Piyaas,

Jo Izaan Ho To Teri Yaad Se Guzar Jaoon.



Mera Wajood Meri Rooh Ko Pukaarta Hai,

Teri Taraf Bhi Chaloon To Thehar Thehar Jaoon

Tere Jamaal Ka Parao Hai Sab Haseeno'n Par,

Kahaan Kahaan Tujhey Dhoondoon Kidhar Kidhar Jaoon.



Main Zindaa Tha K Tera Intizaar Khatam Na Ho,

Jo TU Mila Hai To Ab Sochta Hoon Mar Jaoon



Yeh Sochta Hoon K Main But-Parast Kiyon Na Huwa,

Tujhe Qareeb Jo Paaon To Khud Se Dar Jaoon.



Kisi Chaman Mein Bas Is Khauf Se Guzar Na Huwa,

Kisi Kali Pe Na Bhule Se Paoon Dhar Jaoon.



Yeh Jee Mein Aati Hai Takhleeq-e-Fann K Lamhoon Mein,

K Khoon Ban K Rag-e-Sang Mein Utar Jaoon.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...