9 Oct 2013

Aik Na Aik Shama Andhere Mein Jalaaye Rakhiye

Aik Na Aik Shama Andhere Mein Jalaaye Rakhiye

Subah Hone Ko Hai MaahoL Banaaye Rakhiye



Jin K Haathon Se Humein Zakhm'E'Nihaan Pohnchhe Hain

Wo Bhi Kehte Hain K Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye



Kon Jaane Wo Kis Raah Guzar Se Guzre

Har Guzar'Gaah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye



Daaman'E'Yaar Ki Zeenat Na Bane Har Aansu

Apni Palkon K Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...