16 Oct 2013

Eid Mubarak


SuNOo...!!!MeRa Bhi Ek ChaaNd Hai...

SuNOo...!!!
MeRa Bhi Ek ChaaNd Hai...

MaIN JaB ChahOoN EiD
KaR LOoN�

Tum sey milne ki dua labpe na aa jaye..

Tum sey milne ki dua lab
pe na aa jaye..

Chaand ko dekh k yon
aankh bachayi Hum ny...!

Le K Bazaar Se Aankhon Mein Nami Aaya Hoon ..

Le K Bazaar Se Aankhon Mein Nami Aaya Hoon ..
EID Ki Aaj Bahut Mein Ne Kharidaari Ki ..

Eid Ghazal

Kuch apny boht yad ayen gay Eid k din
Hum ansoo bhi bahaien gay Eid k din

Saja kar dil mein un ki tasveer
Apne ap se sharmaien gay Eid k din

Shayed ho us ki aamad is bahane
Hum ghar apna sajaen gay Eid k din

Shayed day aye paighaam hamara us ko
Hum hawa ko aazmaen gay Eid k din

Tm b mere pas na hogay Eid k din
To kese eid mana payen gay Eid k din.....!!

Tum sey milne ki dua lab pe na aah jaye..

Tum sey milne ki dua lab pe na aah jaye..

Chaand ko dekh k yon aankh bachayi hum ny...!

Kaaash K Is Eid Pe

Mere Maathy Ki Bindiya,
Hoti Tere Naam Ki,
Mere Kaan Ki Baaliyaa'n,
Tujh Sy Waabsita Hoti,
Ye Naak Mein Pahni Hai Jo Nathli,
Jurr Jaaye Ye Bhi Tujh Sy,
Meri Kalaai Ka Ye Kangan,
Khanky Tera Naam Ly Kar,

Kaash Is Eid Py,
Mera Sajna Sanwrna,
Mansoob Ho Tum Sy,
Mere Pairoo'n Ki Paayal Mein,
Sur Ho Shaamil Teri Chaahat Ka,
Kaash Ye Eid Ho Tere Naam Ki,

Kaash Ye Eid Mujhy,
Tum Sy Jorr Dy,
Kaash Ye Eid RAAHI Tujhy,
Mujh Sy Jorr Dy ...

MeRa Bhi Ek ChaaNd Hai...

SuNOo...!!!
MeRa Bhi Ek ChaaNd Hai...

MaIN JaB ChahOoN EiD KaR LOoN�

Aye Ustad_e_IshqAik Ehsaan Farma Di Jiye,

Aye Ustad_e_Ishq
Aik Ehsaan Farma Di Jiye,
DiL-e-Be Chain Ko EID Ki Chuttiyan Chaahiye,

Zulf Hatao Rukh-e-Mehtaab Sy EiD Ho Jaaye

Zulf Hatao Rukh-e-Mehtaab Sy EiD Ho Jaaye
Deedar Apna Ab To Karao EiD Ho Jaaye

Taras Rahi Aankhein Teri DeeD Ko
CHaand Sa Chehra Dikhao EiD Ho Jaaye

Youn Karo Na Parda Hum Sy Ay Janaa'n
Nazaro'n K Saamnay Aao EiD Ho Jaaye,

CHaand Sy Nahi Waabsita Har Kisi Ki EiD,
Meray CHaand Mujhy Nazar Aao EiD Ho Jaaye

RAAHI K FalaK Ka Hai Tu Hi To CHaand
Zulfo'n Ki Kaali Ghata Hatao EiD Ho Jaaye

TanHa TanHa LoT Aya Hai ChanD EiiD Ka,

TanHa TanHa LoT Aya Hai ChanD EiiD Ka,
DiL Ko RuLa KaR Aya Hai ChanD EiiD Ka,

WaDa KaR K Gya USy SaTh LaNy Ka,
WaDa,E,WaFa Na KaR Paya Hai ChanD EiiD Ka,

Khai The KiTni QasMaiN Kiye Thy KiTny WaDy,
SuB KuCh BhuLa KaR Aya Hai ChanD EiiD Ka,

DiN GuZaRy GiN GiN KaR Is UmeD Py,
UmeD Ka JaNaZa NiKaLny Aya Hai ChanD EiiD Ka,

USy Lao'N Ga BaRaS PiChLy KeH Gya Tha MuJh Ko,
WaDy Se ApNy MuKaR K Aaya Hai ChanD EiiD Ka...!!!

Din Bhar Khafa Thi Mujh Se Magar Chaand Raat Ko...!

Din Bhar Khafa Thi Mujh Se Magar Chaand Raat Ko...!

Mehndi Se Mera Naam Likha Us Ne Haath Par....!!

15 Oct 2013

Ussay Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai!

Ussay Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai!
Ek Baar To Aa K Mil Jao Suna Hai Eid Aai Hai!

Ussay Kehna K Bin Tere Bohat Eidein Guzari Hen!
Is Baar To Milne Aa Jao Suna Hai Eid Aai Hai!

Ussay Kehna Judai Se Muhabbat Kam Nahi Hoti!
Yeh Duniya Ko Batla Jao K Suna Hai Eid Aai Hai!

Ussay Kehna K Chahat Ka Bharam Na Totne Dena!
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jao!Suna Hai Eid Aai Hai!

Ussay Kehna K Tanha Hai Koi Eid K Din Bhi!
Yeh Tanhai Mita Jao Suna Hai Eid Aai Hai!

Ye Eid Bhi To Kitni Niraali Hai.

Ye Eid Bhi To Kitni Niraali Hai.
Bas Mera Ghar Hi Khaali Hai.
Wo Rooth K Kiya Gaye Hum Se.
Koi Rut Humen Nahi Manaane wali Hai.

Dar Dar Jaa K Hum Ne Un Ko Dhoonda Hai.
Par Phir Bhi Meri Nazar Sawaali Hai.
Ess Baagh Ka Bulbul Bohat Door Gaya hai.
Ess Waadi Mein To Ab Kehat-Sali Hai.

Phool Bhi Ab Seheme Seheme Se Lagte Hain.
Kiyon K Suna Hai Aandhi Aane wali Hai.
Ye Eid Nahi Matam Bani Hai Yaaro.
Toota Hai Phool To Ab Roti Daali Hai.

Ay Eid Kiya Tum Khushiyan Lai Ho.
Jhooli Humari To Ab Tak Khaali Hai.

Tera Intazar Ha PyasiAnkhoon Ko Berson Se

Tera Intazar Ha Pyasi
Ankhoon Ko Berson Se

Aa Gai EID Ab To EID K Bahane Hi Aa Ja"

Gaye baras ki eid

Gaye baras ki eid ka din kiya acha tha,
Chaand ko dekh k us ka chehra dekha tha.

Fazaa mein cactus k lehjay ki nermahat thi.
Mausam apne rang mein faiz ka misraah tha.

Dua k be-awaz, ulohi lamhon mein.
Wo lamhaa bhi kitna dil-kash lamha tha.

Haath utha ker jab Aankhon hi aankhon mein.
Us ne mujh ko apne Rab se maanga tha.

Phir mere chehrey ko haathon mein le ker.
Kitne piyaar se mera maatha chooma tha.

Hawaa ! kuch aaj ki shab ka ahwaal suna.
Kiya woh apni chat per aaj akela tha?

Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne.
Chand ko dekh k us ka chehra dekhaa tha.?

Phir Se UddaSi Laa RahI He tErE ShEhIr MaIn

Phir Se UddaSi Laa RahI He tErE ShEhIr MaIn

ShaB_E_ TaNHa SaNabBhL Ja phIr EiD aa RahI Hai

14 Oct 2013

Kal Shab Sabhi Ko Apna Chand Nazar AGya MaGar


Kal Shab Sabhi Ko Apna Chand Nazar AGya MaGar...

Hum Ko Humere Chand Ki Hasrat Abhi Bhi Hai..

Kal Shab Sabhi Ko Apna Chand Nazar AGya MaGar...

Kal Shab Sabhi Ko Apna Chand Nazar AGya MaGar...

Hum Ko Humere Chand Ki Hasrat Abhi Bhi Hai...

13 Oct 2013

Wo shakhs meri aankh k paani me raha hai,


Ik umar talak ashk fishaani mein raha hai,
Ay Ishq ! tera dard rawaani mein raha hai,

Ye chorr mere saath kabhi tha k nahi tha,
Wo shakhs magar meri kahaani mein raha hai,

Wo saath nahi mere magar sach hai hamesha,
Wo shakhs meri aankh k paani mein raha hai,

Wo ek shakhs tha Jis se shikayatein thin bohat

Wo ek shakhs tha Jis se shikayatein thin bohat

Wohi aziz tha,us se mohabbatein thin bohat



Wo Jab mila to dil me koi tlab hi na thi

Bichar gya to hamari zaroratein thein bohat



Wo yun mila k jaisy kabhi mila hi na tha

Hamari zaat pe us ki Inayatein thein bohat



Hamein Khud apne hi yaron ne kr diya ruswa

K baat kuch b na thi or wazahatein thein bohat



Har mor pe hum toot'te bikharty rhy

Hamari rooh thi tanha or qayamatein thein bohat.....

12 Oct 2013

Hum Ne Jo Deep Jalaye hain Teri Galiyon Mein,

Hum Ne Jo Deep Jalaye hain Teri Galiyon Mein,

Apny Kuch Khuwaab Sajaaye Hain Teri Galiyon Mein,



Jaanay Ye Ishq Hai Ya Karaamat Apni,

Chaand Le Kar Chaly Aye Hain Teri Galiyon Mein,



Tazkira Ho Teri Galiyon Ka To Dar Jata Hon,

Dil Ne Wo Zakhm Uthaye Hai Teri Galiyon Mein,



Is Liye Bhi Teri Galiyon Se Humen Nafrat Hai,

Hum Ne Arman Ganwaaye Hain Teri Galiyon Mein,



Q Har Aik Chez Adhori C Humen Lagti Hai,

Jany Kiya Chhor K Aaye Hain Teri Galiyon Mein,

Ghamza Nahin Hota K Ishaara Nahin Hota,

Ghamza Nahin Hota K Ishaara Nahin Hota,

Aankh Un Se Jo Milti Hai To Kiya Kiya Nahin Hota.



Jalwa Na Ho Ma'ni Ka To Soorat Ka Asar Kiya?

Bulbul Gul-e-Tasveer Ka Shaida Nahin Hota.



ALLAH Bachaay Marz-e-Ishq Se Dil Ko.

Sunty Hein Ke Ye Aariza Achha Nahin Hota,



Tashbeeh Tery Chehry Ko Kiya Doon Gul-e-Tar Se,

Hota Hai Shagufta Magar Itna Nahin Hota.



Main Naz'a Mein Hoon, Aaen To Ihsaan Hai Un Ka,

Lekin Ye Samajh Lein K Tamaasha Nahin Hota.



Hum Aah Bhi Kartay Hein To Ho Jaatay Hein Bad_Naam,

Wo Qatal Bhi Kartay Hein To Charcha Nahin Hota.

Main Shagufta Lab-e-Izhaar Kahan Se Laun.

Main Shagufta Lab-e-Izhaar Kahan Se Laun.

Ishq-o-Romaan K Azkaar Kahaan Se Laun.



Qissa-e-Talkhi-e-Doran Main Suna Sakta Hoon

Dastan-e-Lab-o-Rukhsaar Kahaan Se Laun.



Apne Ehsas Se Main Jhoot Kahaan Tak Bolun

Shair Mein Shokhi-e-Afkaar Kahaan Se Laun.



Main Ghazal-Go Hon, Qaseeda To Nahi Keh Sakta

Kiya Karon Lehja-e-Darbaar Kahan Se Laun.



Saut-o-Alfaz Ki Zarbat Pe Bharosa Hai Mujhe

Main Tahi'Dast Hon Talwaar Kahan Se Laun.



Main To Bik Sakta Hon Sirf Aik Tabasum K Iwaz

Lekin Ab Aise Kharidar Kahan

Se Laun.



Gham'zada Log To Mil Skte Hain Jitne B Chaho MOhsin"

Magar Aj K Daur Me Ghamkhwaar Kahan Se Laun.

Ab k eid ka chaand jo dekha


sheher me jhashan-e-Eid bhaharan..
ujhre dil me dard hazaran...

Ab k Eid ye kaisi aai......
har so pheli hai tanhai...

na hi usne khat likha hai...
na hi hum ne nazam sunai...

gajre bhi na pehne usne....
na hi usne bal banaye...

Ab k eid ka chaand jo dekha ...
Hum ne bhi na hath uthaye ...

ab k beth k tanhai me na chahat k geet sune hain...
na us k jhore ki khatir hum ne koi phool chune hain..

na hi zikar chala hai us ka
na hi koi mehfil-e-yaraan

Aankhon me selaab hai kaisa.
Aansoo hain ya bad-o-baraan

eid pr wo na ghar se nikli
hum nikle to Aese nikle..
dard ki le kr sari talkhi.
Aankh se jaise Aansoo nikle.

eid k din bs lab se nikla kaisi ye dil soz ghari hai..
na yaroon se hath milaye..
na Masjid me eid parhi hai..

Wese to tha pyar porana..
par is din tajdeed the krte..
dekh k eik dojay ki soorat..
tab hum dono eid the krte..

ab to apna milna jaise ..
Sehraon me bad-o-baraan.

wo shaks juda ho gaya


11 Oct 2013

Bhool kar mujh ko wo jeeny ki waja pochta hy,

Bhool kar mujh ko wo jeeny ki waja pochta hy,

Kese zinda hon main ab tak ye ada pochta hy,



Roz meri rooh ko wo de jata hy Zakhm naye,

Shoq uska hy magar mujh sy saza pochta hy,



Mery hathon ki lakeeron main JAB basa hy wo,

Phir Kyon Wo apni dy k Qasam meri raza pochta hy,



Usko ye khof k kahin main usey paa na lon,

Main jab bhi uthaon hathon ko wo meri dua pochta hy..

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat

Labon Pe Apne Saja Saja K,



Woh Naram Lehje Mein Baat Karna

Adab Se Nazren Jhuka Jhuka K.





Woh Aankh Teri Shararti Si

Woh Zulf Mathy Pe Nachti Si,



Nazar Hatay Na Aik Pal Bhi

Mein Thak Gaya Hoon Hata Hata K.





Woh Tera Haathon Ki Ungliyon Mein

Mila K Zulfon Mein Kho Sa Jana,



Haya K Chehrey Pe Phir Sajana

Phool Chehra Khila Khila K,



Woh Haath Hooron K Ghar Hoon Jese

Woh Paaon Pariyon K Par Hoon Jese,



Nahi Hai Teri Misaal Jana

Main Thak Gaya Hoon Bata Bata K,.

10 Oct 2013

Na Ghubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna

Na Ghubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna

Mere Dard Ki Ab-o-Taab Mein Mujhe Dekhna



Kisi Waqat Shaam Malaal Mein Mujhe Sochna

Kabhi Apne Dil Ki Kitaab Mein Mujhe Dekhna



Kisi Dhun Mein Tum Bhi Jo Bastiyo'n Ko Tyag Do

Isi Raah-e-Khaana Kharaab Mein Mujhe Dekhna



Kisi Raat Maah-o-Najoom Se Mujhe Poochna

Kabhi Apni Chasham Puraab Mein Mujhe Dekhna



Essi Dil Se Ho Kar Guzar Gaye Kai Karavaan

Ki Hijratoo'n K Zaib Mein Mujhe Dekhna



Main Na Mil Sakoo'n Bhi To Kiya Huwa K Fasaana Hoon

Nai Dastaan Naye Baab Mein Mujhe Dekhna



Mere Khare Khare Sawaal Mein Mujhe Dhoondna

Mere Geet Mein Mere Khuwaab Mein Mujhe Dekhna



Mere Aansuo'n Ne Bujhai Thi Meri Tashnagi

Essi Bargzida Sahaab Mein Mujhe Dekhna



Wohi Ik Lamha Deed Tha K Ruka Raha

Mere Roz-o-Shab K Hisaab Mein Mujhe Dekhna



Jo Tarrap Tujhe Kisi Aaine Mein Na Mil Sakey

To Phir Aaine K Jawaab Mein Mujhe Dekhna..

Ik umar talak ashk fishaani mein raha hai,

Ik umar talak ashk fishaani mein raha hai,

Ay Ishq ! tera dard rawaani mein raha hai,



Ye chorr mere saath kabhi tha k nahi tha,

Wo shakhs magar meri kahaani mein raha hai,



Ik hijar tere baad rag-e-jaan mein utar kar,

Taa umar phir alfaz-o-ma'aani mein raha hai,



Sehraa se tere dill ki guzar gaah talak dill,

Har roz nayi naqal makaani mein raha hai,



Wo saath nahi mere magar sach hai hamesha,

Wo shakhs meri aankh k paani mein raha hai,

Log Shor Se Jaag Jaate Hain.

Log Shor Se Jaag Jaate Hain.

Aur Mujhe Us Ki Khamoshi Sone Nahi Deti.

Ye Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaye

Ye Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaye

Wo Bhoot Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye



Ye Kin Nazaro'n Se Tum Ne Aaj Dekha

K Tera Dekhana Dekha Na Jaye



Hamesha K Liye Mujh Se Bichar Jaa

Ye Manzar Baaraha Dekha Na Jaye



Ghalat Hai Jo Suna Par Aazma Kar

Tujhe Ay Bewafa ! Dekha Na Jaye



Ye Maharomi Nahi Paas-E-Vafaa Hai

Koi Tere Siwa Dekha Na Jaye



Yehi To Aashna Banate Hain Aakhir

Koi Na'aashna Dekhaa Na Jaye



Apney Siwa Hai Kon Tera

Tujhe Tujh Se Juda Dekha Na Jaye.

Tum Do Fareeb Mujhe Aur Main Samjhon Hunar Use,,,

Tum Do Fareeb Mujhe Aur Main Samjhon Hunar Use,,,



Ab Itna Bhi Saadgi Ka Zamana Nahi Raha...

TUMHARE SAATHREHNA HAI

    :TUMHARE:
       SAATH
   :REHNA HAI:      

Chalo ab rothna choro,

Chalo ranjish bhula do na,

Muhabat tum bhi kartay ho,

Muhabat main bhi karta hon,

To phir ye rothna kesa?

To phir ye ranjishein kesi?

Tumhare pas sub kuch hai,

Ye dolat hai, ye shohrat hai,

Merey daman mein meri jaan,

Sirf tumhari muhabbat hai,

Mujhey bas itna kehna hai,

Tumhare paas rehna hai...
   :TUMHARE:
              SAATH  
  :REHNA HAI:

9 Oct 2013

Is Zindagi Ka Kiya BHarosa Jo 2 Pal Ki Hai.

Is Zindagi Ka Kiya BHarosa Jo 2 Pal Ki Hai.



HuM Bhi Un Lamhon Ki Tarah Guzar Jain Ge Jo Loat K Nahi Aate ...!!

Maroon To Main Kisi Chehrey Mein Rang Bhar Jaoon,

Maroon To Main Kisi Chehrey Mein Rang Bhar Jaoon,

Kaash Mein Yehi Ek Kaam Kar Jaoon.



Ye Dasht-e-Tark-e-Muhabbat Ye Tere Qurb Ki Piyaas,

Jo Izaan Ho To Teri Yaad Se Guzar Jaoon.



Mera Wajood Meri Rooh Ko Pukaarta Hai,

Teri Taraf Bhi Chaloon To Thehar Thehar Jaoon

Tere Jamaal Ka Parao Hai Sab Haseeno'n Par,

Kahaan Kahaan Tujhey Dhoondoon Kidhar Kidhar Jaoon.



Main Zindaa Tha K Tera Intizaar Khatam Na Ho,

Jo TU Mila Hai To Ab Sochta Hoon Mar Jaoon



Yeh Sochta Hoon K Main But-Parast Kiyon Na Huwa,

Tujhe Qareeb Jo Paaon To Khud Se Dar Jaoon.



Kisi Chaman Mein Bas Is Khauf Se Guzar Na Huwa,

Kisi Kali Pe Na Bhule Se Paoon Dhar Jaoon.



Yeh Jee Mein Aati Hai Takhleeq-e-Fann K Lamhoon Mein,

K Khoon Ban K Rag-e-Sang Mein Utar Jaoon.

Aik Na Aik Shama Andhere Mein Jalaaye Rakhiye

Aik Na Aik Shama Andhere Mein Jalaaye Rakhiye

Subah Hone Ko Hai MaahoL Banaaye Rakhiye



Jin K Haathon Se Humein Zakhm'E'Nihaan Pohnchhe Hain

Wo Bhi Kehte Hain K Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye



Kon Jaane Wo Kis Raah Guzar Se Guzre

Har Guzar'Gaah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye



Daaman'E'Yaar Ki Zeenat Na Bane Har Aansu

Apni Palkon K Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye.

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...