27 Jun 2013

Soz-O-Gham Dy Ke Mujhe Us Ne Ye Irshaad Kiya,

Soz-O-Gham Dy Ke Mujhe Us Ne Ye Irshaad Kiya,

Jaa Tujhe Kashmakash e-Dehr Se Aazad Kiya,



Wo Karen Bhi To Kin Alfaaz Se Tera Shikwa,

Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya,



Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya,

Jab Chali Sard Hawa Main Ne Tujhe Yaad Kiya,



Uss Ka Rona Nahi Kiyon Tum Ne Kiya DiL Barbaad,

Ess Ka Gham Hai K Bahut Dair Mein Barbaad Kiya,



Itna Mahnoos Hoon Fitrat Se

Kalli Jab Chatki,

Jhuk Ke Main Ne Ye Kaha Mujh Se Kuch Irshaad Kiya,



Mujh Ko To Hosh Nahi Tum Ko Khabar Ho Shayad,

Loog Kehte Hain Ke Tum Ne Mujhe Barbaad Kiya....!!

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...