29 Jun 2013

Mujhe Rona Nahin, Awaz Bhi Bhaari Nahin Karni,

Mujhe Rona Nahin, Awaz Bhi Bhaari Nahin Karni,

Mohabbat Ki Kahaani Men Adaa'kaari Nahin Karni,



Hamara Dil Zara Uktaa Gaya Tha Ghar Men Reh Reh Kar,

Yunhi Baazaar Aaye Hain Kharidaari Nahin Karni,



Tahamul Ay Mohabbat, Hijr Pathareela Ilaaqa Hai,

Tujhe Is Raaste Par Taiz'raftaari Nahin Karni,



Hawa K Khauf Se Lipta Hun Khushk Tehni Se,

Kahin Jana Nahin, Jaane Ki Tayaari Nahin Karni,



Ghazal Ko Kam'nigaahon Ki Pohunch Se Door Rakhta Hun,

Mujhe Banjar Dimaaghon Men Shajar'kaari Nahin Karni,



Naseehat Ki Thi Mujh Ko 'Qais Ne Sehraa K Baare Men,

Ye Mera Ghar Hai, Is Ki Chaar'diwaari Nahin Karni.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...