28 Jun 2013

Hum Se Jab Hoont Woh Milaatay Hain.

Hum Se Jab Hoont Woh Milaatay Hain.

Maikady Bansuri Bajaatay Hain.



Aao Hum Ko Faraib Do Koii,

Hum Khushi Se Faraib Khaatay Hain.



Jo Teray Dar Se Namuraad Aaye,

Ab Mere Dar Ko Khatkhataatay Hain.



Teri Mehfil Ki Rooshni K Liye.

Aaj Hum Apna Dil Jalaatay Hain.



Youn Khanakti Hai Nabz-E-Dil Jaisse.

Jangaloon K Sakoot Gaatay Hain.



Dil Alam Hi Se Shaq Nahi Hote.

Dil Khushi Se Bhi Toot Jaatay Hain.



Aap Bhi Koi Hukam Farmayeen.

Maah Jabeen Khidmatain Karwaatay Hain.



Tum Ne Dil Ko Ujaar Hi Daala.

Kiya Sajan Youn Ghar Basaatay Hain.



Koi Matti Ka Koi Chaandi Ka.

Ghar Mein Sab Hi Diye Jalaatay Hain....!!

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...