27 Jun 2013

Iza-dehi ki daad jo paata raha hon main.

Iza-dehi ki daad jo paata raha hon main.

Har naaz aafren ko satata raha hon main.



Ay kaash kharaam paon k chhaly to gin zara.

Tujh ko kahan kahan na phirata raha hon main.



Ek satar bhe kabhi na likhi main nay teray naam.

Pagal tujhi ko yaad bhe aata raha hon main.



Shayed mujhy kisi say mahabbat nahi hoi.

Lekin yaqeen sub ko dilata raha hon main.



Ek husn e bymissal ki tamseel k lye.

Parchayun py rang girata raha hon main.



Kal dopehar ajeeb si ek baydili rahi.

Bus tee'lyan jala k bujhta raha hon main.,.!i

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...