27 Jun 2013

Aanganon Main Utra Hai Baam-O-Dar Ka Sannata,

Aanganon Main Utra Hai Baam-O-Dar Ka Sannata,

Mere Dil Pe Chaaya Hai, Mere Ghar Ka Sannata,



Raat Ki Khamoshi To Phir Bhi Meherban Nikli,

Kitna Jaan Leva Hai Dopeher Ka Sannata,



Subha Mere Jore Ki Her Kali Salamat Nikli,

Goonjta Tha Khushboo Main Raat Bhar Ka Sannata,



Apni Dost Ko Le Kar Tum Wahan Gaye Hoge,

Mujh Ko Poochta Hoga, Rahguzer Ka Sannata,



Khat Ko Choom Kar Us Ne Aankh Se Lagaya Tha,

Kul Jawab Tha Goya, Lamha Bhar Ka Sannata,



Tu Ne Uss Ki Aankhoon Ko Ghor Se Parha Qaasid?

Kuch Tou Keh Raha Hoga Uss Nazer Ka Sannata,

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...