29 Jun 2013

Kalaam karti nhi, Bolti bhi jati hy

Kalaam karti nhi, Bolti bhi jati hy

Teri Nazar ko ye Kesi Zuban Aati hy ,



Kabhi Kabhi Mujhy Pehchanti nhi Wo Aankh

Kabhi Charagh sy Charo'n taraf Jalati hy ,



Ajab Tazaad men Palti hy Tery Wasl ki Yad ,

K Ek Aag Bujhati hy Ik Lagati hy ,



Main Us ko dekhta rehta hun Raat Dhalny tak ,

Jo Chaandni Teri Galiyo'n sy ho k Aati hy ,



Ye Roshni bhi Ataa hy Teri Mohabat ki ,

Jo Meri Rooh k Manzar Mujhy dikhati hy ,



Umeed e Wasl bhi hy Kaanch ki Choorri ,

K Pehn'ny men kai baar Toot jati hy,

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...