5 Sept 2015

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan.

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan,
Guftar Mein Kirdar Mein Allah Ki Burhan,

Qahari-O-Ghafari-O-Qudosi-O-Jabroot,
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman,

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen Banda-E-Khaki,
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsan,

Ye Raz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai Haqeeqat Mein Hai Quran,

Qudrat K Maqasir Ka Ayyar Is K Irade,
Dunia Mein Bhi Meezan Qayamat Mein Bhi Meezan,

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho,
Wo Shabnam Dariaon K Dil Jis Se Dehal Jain Wo Taufan,

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan....

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...