14 Sept 2015

Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha,

Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha,
Iss zakham ko hum ne kabhi silte nahin dekha,

Ik baar jisse chaat gayi dhoop ki khawhish,
Phir shaakh pe uss phool ko khilte nahin dekha,

Yak-lakht gira hai to jarren tak nikal aayin,
Jiss pairr ko aandhi main bhi hilte nahin dekha,

Kaanton main ghire phool ko choom aaye gi lekin,
Titlee ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha,

Kiss tarah meri rooh ko harri kar geya akhir,
Woh zeher jisse jism main khilte nahin dekha..

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...