5 Sept 2015

Ae Rah e haq kay Shaheedo, Wafa ki tasweeron,

Ae Rah e Haq ke Shaheedo,wafa ki tasweeron, tumhe watan ki hawayein Salam kehti hein,

laganay aag jo aye thay ashianay ko woh sholay, apne lahoo se bujha diye hai tumhe Bacha liya hai yateemi se kitne phoolon ko , Suhag kitni baharon ke Rakh tumne

Tumhain Chaman Ke Fazaien Salam Kehtien Hain

Ae Rah e Haq ke Shaheedo,wafa ki tasweeron, tumhe watan ki hawayein Salam kehti hein,

Chalay jo hoge shahadat ka jaam pi ke tum, Rasool Paak (SaW) ne baanhon mei le liya hoga, Ali (Rza) tumhari shujaat pe jhoomte hongein, Hussain (Rza) pak ne irshaad yeh kiya hoga tumhe khuda ki Razayein salam kerti hein

Ae Rah-e-Haq Kay Shaheedo, wafa ki tasweeron, tumhe watan ki hawayein salam kehti hein

Janab e Fatima Jigar e Rasool (SaW) ke aagay Shaheed ho ke kiya maa ko surkhuroo tum ne Janab e Hazrat Zainab (Rza) gawahi deti hain, Shaheedo rakhi hai behnon ki aabroo tum ne,

watan ki betiyan, maayein salam kehti hein

Ae Rah e haq kay Shaheedo, Wafa ki tasweeron, tumhe watan ki hawayein salam kehti hein

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...