11 Sept 2015

Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata,

Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata,
Gr shaam ka bhoola hai to ghar kyun nahin jata,

Hum ko nahin maloom ke ujrre huye dil se,
Awaara mizaaji ka assar kyun nahin jata,

Kya baat hai sarrkon pe utarti nahin raunak,
Kya baat hai iss sheher se ddar kyun nahin jata,

Sadiyon se tujhe takte huye soch raha hoon,
Jee tere hadh-o-haal se bhar kyun nahin jata,

Ankhon se udaasi ki ghattaaa kyun nahin
chatt-ti,
Seene se mohabbat ka bhanwar kyun nahin jata,

Thehra hai jo qaafila-e-gham mere dil main,
Iss chotti si bastti se guzar kyun nahin jata,

Saanson se mere larzish -e-gham kyun nahin jaati,
Pairon se mere zakhm-e-safar kyun nahin jata..

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...