26 Jan 2016

Tukre Utha Utha Ke Mere JORRTA HAI WO

Tukre Utha Utha Ke Mere JORRTA HAI WO
Jurr Jaaon Jab To Phir Se Mujhe TORTA HAI WO

Uthta Hoon Subah Ko To Mahekta Hai Saara Jisam
Khuwaabon Mein Saari Raat Mujhe AORRHTA HAI WO

Hum Ne To ISHQ Kar K KHUDA Paa Liya MAGAR
Jo BeHunar Hai Sang Se Sar PHORRTA HAI WO

Parrhta Nahi SAHEEFA e DIL Ki Wo Daastan
Har Roz EK Waraq Hi Faqat MORRTA HAI WO

EK Shakhs Mujh Mein Youn Hai Bassa Huwa
Mere Liye Jagah Hi Nahi CHHORRTA HAI WO

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...