17 Jan 2016

Jab bhi wo shakhs �WASI� mujhse khafa ho jaye,

Jab bhi wo shakhs "WASI" mujhse khafa ho jaye,
Aik sunami mery seeny mai bapa ho jaye,

Dil mai phir kuch nahi hoga khalaon k siwa,
To kisi roz ager mujhse juda ho jaye.

Wo buht rakhta hai chahat ki tamazan ka hisab,
Wo to aik sajda na bakhshy jo qaza ho jaye,

Thapkian de ker sulati hain teri yaaden hamen,
Neend jis raat bhi hum se khafa ho jaye,

Ye taqaza hai muhabbat ki ibadat ka "WASI"
Usko chu leny se aik rukn adaa ho jaye

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...