Sirf Khuwaabon Ka Ye Dhoka Nahi Tabeer Bhi De
Naqsh Ko Rang Ata kar Koi Tasweer Bhi De
Meray Nuskhey Mein jo Likhi Hain Duaaein TU Ne
Be Asar Hain Ye Abhi Tak Inhein Taseer Bhi De
Ye Jo TU Roz Palat Aata Hai Apni Jaanib
Wo Sada Ban Jo Khalaaon Ka Jigar Cheer Bhi De
Khoob Haathon Pe Lakeeron ko Sajaaya TU Ne
Ab Inhein Shaan k Shaayan Koi Taqdeer Bhi De
Ye Jo Be Simat Bhataktey Hain Khayaalon k Naqoosh
In ko Lafzon Se Mila Aur Koi Tehreer Bhi De
Shaad Hoon Is Liye Dar Khulta Nahi Mujh Pe Koi
Is Udaasi Mein Sada Ab Koi Dilgeer Bhi De
No comments:
Post a Comment