30 Jan 2016

Sirf Khuwaabon Ka Ye Dhoka Nahi Tabeer Bhi De

Sirf Khuwaabon Ka Ye Dhoka Nahi Tabeer Bhi De
Naqsh Ko Rang Ata kar Koi Tasweer Bhi De

Meray Nuskhey Mein jo Likhi Hain Duaaein TU Ne
Be Asar Hain Ye Abhi Tak Inhein Taseer Bhi De

Ye Jo TU Roz Palat Aata Hai Apni Jaanib
Wo Sada Ban Jo Khalaaon Ka Jigar Cheer Bhi De

Khoob Haathon Pe Lakeeron ko Sajaaya TU Ne
Ab Inhein Shaan k Shaayan Koi Taqdeer Bhi De

Ye Jo Be Simat Bhataktey Hain Khayaalon k Naqoosh
In ko Lafzon Se Mila Aur Koi Tehreer Bhi De

Shaad Hoon Is Liye Dar Khulta Nahi Mujh Pe Koi
Is Udaasi Mein Sada Ab Koi Dilgeer Bhi De

Qatal Karna Tha tu Mehndi Bharay Hathon say Karti

Qatal Karna Tha tu Mehndi Bharay Hathon say Karti
Rang e Ulfat Bhi Rahay Khoon Ki Holy Bhi Rahay 

Baad 0 Baran Ki Tarha Taaluq Rakh Lo Hum Say 
Parda Dari Bhi Rahay Aankh Macholi Bhi Rahay

Usy Jis ROz Bhi Yaaro Sanwarte Hum Ny Dekhaa Hai

Usy Jis ROz Bhi Yaaro Sanwarte Hum Ny Dekhaa Hai
Tullu E Subh Ka Manzar Ubharty Hum Ny Dekha Hai

Ajab Tha Us Ki Angrai Ka Aalam Pesh Manzar Mein
Bahaaron KO Qataaron Mein Utartay Hum Ny Dekha Hai

Boht Hi Naaz Karta Tha JO Apni Sarfrazi Par
Haseen VO Chaand
Dariya Mein Utraty Hum Ny Dekha Hai

KOi TO Shakhs Bhi HOta
Jisy Hum Humsafar Kehty
Jisy Dekha Usy Rassta Badaltay Hum Ny Dekha
Hai

Milaai Roshni Sy Jab Nazar Tu Ny Mery Hum Dam
Teri Aankhon Mein Chandaa KO Sanwartay Hum Ny Dekha Hai

Nadi Thi Pursakon Pani Bhi Tha Thehra Huwa
Achanak Aik Pathar Sy Bipharty Hum Ny Dekha Hai

Chup Na Raho Be Chain Musafir

Chup Na Raho Be Chain Musafir
Beet Chali Hai Rain Musafir

Aur Nahi To Dil K Bare
Kuch To Kahein Ge Nain Musafir

Jangal Mein Koyel Kurlaye
Har Soo Gonjein Been Musafir

Tairi Aas Mein Ro Daiti Hain
Sham Dhale Tarfain Musafir

Gard Mein Gard Hua Aakhir Ko
Raston K Mabeen Musafir

Paon Se Jane Kon Utare
Chhalon Ki Naeleen Musafir

Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhi Samjhaaney Ko

Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhi Samjhaaney Ko
Is Se Kiya Faraq Parray Ga Teray Deewaaney Ko

Jis Qadar Weham Hain Sab Us K Atta KarDaa Hain
Liye Phirtaa Hoon Kisi Aur K Butt Khaaney Ko

Ye Hunar Wo Hai Jo Dil Se Kabhi Seekha Na Gaya
TU Ne To Jorr Liya Torr K Paimaaney Ko

Kiya Koi Khail Hai Be Naam o Nishaan Ho Jaana
Waisey Shamma Bhi Tayaar Hai Jall Jaaney Ko

Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Se MulaaQaat Huwi
Main Milaa Hoon Kisi Jaaney Huwe Anjaany Ko

Aaj K Dukh Bhi Kisi Se Nahi Jhailay Jaatey
Yaad Matt Kar Kisi Bhooley Huwe Afsaanay Ko

Door Tak Raat Ki Aankhon Mein Kaheen Neend Nahi
Itna Sannata Hai K Aaye Koii Tarrpaanay Ko

Zindagi Bhar Mein Koi Shai To Mukammal Kar Lein
Aao Labraiz Karein Sabar K Paimaanay Ko

Ye Alag Baat K Eik Boond Muqqadar Mein Na Thi
Sar Pe So Baar Ghata Chaai Rahi Chaaney Ko

Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Shaam e Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahi Parwaaney Ko

27 Jan 2016

Suno Khwahish Nai Mujay Mash'hoor Hone Ki

Suno Khwahish Nai Mujay Mash'hoor Hone Ki 

Wo Mujay Janta Hai Bas Itna Kafi Hai

Ab Judai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo...!!!!!!!

Ab Judai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo...!!!!!!!

Tum Mujhy Khwab Mein Aa Kar Na Pareshan Karo..

Kabhi Shikaston K Dukh Uthaye To Us Se Puchoon.

Kabhi Shikaston K Dukh Uthaye To Us Se Puchoon.
Woh Meri Manind Toot Jaye To Us Se Puchoon.

Usey Bhi Koi Sitara Manzil Se Dur Kar De.
Usse Bhi Rasta Nazar Na Aye To Us Se Puchoon.

Safar Main Woh Bhi Kisi Kare Imtihan Se Guzre.
Usse Bhi Yun Koi Azmaye To Us Se Puchoon.

Usse Mohabbat Main Kon Sa Dukh Dia Hai Main Ne.
Kabhi Nazar Se Nazar Milaye To Us Se Puchoon.

Meri Tarha Din Charhe Talak Wo Bhi Na Soay.
Usse Bhi Shab Bhar Na Neend Aye To Us Se PuchooN

Apna Hissa Shumar Krta Tha

Apna Hissa Shumar Krta Tha
Wo Mujhse Itna Piyar Krta Tha

Wo Banata Tha Meri Tasveerain
Phir Un Se Batein Hazar Krta Tha

Mera Dukh B Khalos-E-Neeyat Se
Apne Dukhon Ma Shumar Krta Tha

Such Samjhta Tha Jhoot B Mera
Yun Wo Mera Aitbar Krta Tha

Jab B Rota Tha Main Raat Ki Tanhaiyon Ma
Wo Apne ANCHAL Se Mere Chahray Ko Saaf Krta Tha

Aj Sochta Hon To Aankhein Bheeg Jati Hain
Wo Shakhs Mjhse Kitna Piyar Krta Tha...!!!

26 Jan 2016

Tukre Utha Utha Ke Mere JORRTA HAI WO

Tukre Utha Utha Ke Mere JORRTA HAI WO
Jurr Jaaon Jab To Phir Se Mujhe TORTA HAI WO

Uthta Hoon Subah Ko To Mahekta Hai Saara Jisam
Khuwaabon Mein Saari Raat Mujhe AORRHTA HAI WO

Hum Ne To ISHQ Kar K KHUDA Paa Liya MAGAR
Jo BeHunar Hai Sang Se Sar PHORRTA HAI WO

Parrhta Nahi SAHEEFA e DIL Ki Wo Daastan
Har Roz EK Waraq Hi Faqat MORRTA HAI WO

EK Shakhs Mujh Mein Youn Hai Bassa Huwa
Mere Liye Jagah Hi Nahi CHHORRTA HAI WO

Apne Uljhe Huwy Din Raat Bhi Suljha Na Sake

Apne Uljhe Huwy Din Raat Bhi Suljha Na Sake
Itney Befaiz Hain Khud Apney Hi 
Kaam Aa Na Sake

Saaya e Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh e Khushi Pa Na Sake

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Un Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sake

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Un Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sake

Daastan Kehne Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sake Dil Unhein Dilkhla Na Sake

Khilti Kaliyon K Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhre Phoolon Se Jo Poocha Tu Woh Samjha Na Sake

Khuwahish e Deed Bhi Khud ko Bhi Chupaiye Jaon

Khuwahish e Deed Bhi Khud ko Bhi Chupaiye Jaon
Aur Ilzaam Bhi khud Par Hi Lagaiye Jaon

Haye Afsoos k Tujh Se Na Nibhai Duniya
Tujh ko Majboriyaan Kab tak Main Bataiye Jaon

Log Aa Aa k Mere Dil Mein Lagaen Aatish
Roz Chhup Chhup k Isay Aur Barhaiye Jaon

Main k Mujrim Bhi Nahi Wajh e Judai Bhi Nahi
Janay Q Sharam Se Sar ko Main Jhukaiye Jaon

Ab Na Manzil Hai Na Ehsas Na Rasty ki Khabar
Zindagi Bojh k Manind Uthaiye Jaon

Paa Ba Jolaan Bhi Nahi Paa e Shikasta bhi Nahi
Phir bhi Har Khaar Main Palkon Se Uthaiye Jaon

Zindagi Guzri To Bas Aik Hi Pal Mujh Ko
Ab Kahan Tak Main Gham e Umer Sunaiye Jaon

Mujhe sab Log kehte hen

Mujhe sab Log kehte hen
MuhAbat jante ho Tum
Muhabat manty ho tum
Muhabat AAG jesi hai
Mohabat piyas jesi hai
Mohabat aas jesi hai
Mohabat gulab jesi hai
Mohabat kitab jesi hai
or me kehta hun
Mohabat ap jesi hai

Kahin To Ja K Ye Maah o Saal Rukain

Kahin To Ja K Ye
Maah o Saal Rukain

Kabhi To Khatam Ho Teray Intizaaar Ka Mosam

Khusboo Gayi Na Dil Se Na Yaadon Se BeRukhi

Khusboo Gayi Na Dil Se Na Yaadon Se BeRukhi

Zaalim K Saaray Naqsh Barry Paayedaar Thay

Ik sitara jo meri Aankh se dhalne laga hay

Ik sitara jo meri Aankh se dhalne laga hay
Iska matlab hay koi Khwaab pighalne laga hay

or ab kia ho bhala shaoq e musaafat ki daleel
Tera beemaar to ab neend men chalne laga hay

Din ba din Main jo yoon madoom huwa jaata hun
Aik Aaiena mera Aks nigalne laga hay

Us k seene men koi Aag sulagne lagi hay
Meri Aankhon men koi chashma ubalne laga hay

Meri shuhrat to hy az khud Teri mamnoon e karam
Yaar tu yoon hi mere naam se jalne laga hay

25 Jan 2016

Ab Door Hi Reh Ya Mil Sajna

Ab Door Hi Reh Ya Mil Sajna
Tujhe Sonp Diya Hai Dil Sajna

Ab Khushboo Har Soo Phaile Gi
Ik Zakham Gaya Hai Khil Sajna

Har Raat Taire Bin Seene Par
Hai Dhari Hui Ik Sil Sajna

Har Husan Mein Waar Don Tum Par Se
Kaya Aankhein Aarz Til Sajna

Seene Mein Meetha Meetha Dukh
Aankhon Mein Hai Jhilmil Sajna

Poet Farhat Abas Shah

Aankhon Me Teri Yaad Liye Ja Raha Hun Main

Aankhon Me Teri Yaad Liye Ja Raha Hun Main
Dil Se Tujhe Duaayen Diye Ja Raha Hun Main

Main Wo Nahi K Aa k Chala Jaaun Khaali Haath
Do Chaar Hasrten Tu Liye Ja Raha Hon Main

Jo meri Zindgi Thi Meri Jaan Thi Gaye
Phir Kis Khushi Me Aur Jiye Ja Raha Hon Main

Ay Mout Haath Thaam Lay Mujh Bad Naseeb Ka
Kab Se Tujhe Aawaaz Diye Ja Raha Hun Main

Soch Lo Chalne Se Pehle Rastaa Dushwaar Hai

Soch Lo Chalne Se Pehle Rastaa Dushwaar Hai
Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewaar Hai

Phir Faraib e Roz o Shab Ki Dosti Mumkin Nahi
Kar Diya Inkaar So Inkaar Hai ! Inkaar Hai

Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main
Hijar Bhi In Visaal K Lamhon Ka HissayDaar Hai

Is Taraf To Raston Main Dhool Se Urrnay Lage
Ab To Jaa K Dekhna Hai Jo Samandar Paar Hai

Phir Hawa e Sehar Mujh Se Munharif Honay Lagi
Phir Mere Honton Pe Tere Naam Ki Takraar Hai

Ab Kahaan Choye Gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni
Jis K Haathon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai

Teri Paayal Tere Khuwaboon Ki Sadaa

Teri Paayal Tere Khuwaboon Ki Sadaa
Jaisy Sehra Mein Saraaboon Ki Sadaa

Itna Hasaas Hoon Sun Leta Hoon
Shaam K Zard Gulaboon Ki Sadaa

Jisam Sunta Hai Sakoot E Shab Mein
Dil K PurShor Azaboon Ki Sadaa

Ghaur Se Sun Kisi Almari Mein
Gard Aalood Kitaboon Ki Sadaa

Raat Aaya Tha Chambeli Ka Paighaam
Jaisay Khoye Huway Khuwaaboon Ki Sadaa

Le chala jaan meri rooth ke jaana tera.

Le chala jaan meri rooth ke jaana tera.

Aese aaney se to behtar tha naa aana tera..

Jaane wale teri yaadon ko bhula kar dekha,

Jaane wale teri yaadon ko bhula kar dekha,
Loh-e-dil se tera har naqsh mittaa kar dekha,


Saari duniya ko nazar aaney lage tere naqoosh,
Jab bhi aankhon main kabhi tujh ko chupa kar dekha,


Tere jaate hi khafaa ho gayi duniya sari,
Baar-haa hum ne yeh ehsaas mitaa kar dekha,


Sangdil meri wafaaon ka tu qaayel na hua,
Zakham har baar neya tu ne lagaa kar dekha,


Raas kyun dosti aayi na kisi ki hum ko,
Hum ne har taur se paimaan nibhaa kar dekha,


Bhool bhi ja zamaane ke sitam ab tu " Jabeen",
Hansne waalon ne tumhe kitna hansaa kar dekha..

Main Manta Hun Mujhse Khata Ho Gai Magar

Main Manta Hun Mujhse Khata Ho Gai Magar
Us Ne Bhi Mujh Ko Maaf Na Kar K Ghalat Kiya


Uska Bichar K Jana Meri Maut Ban Gaya
ilzaam Mujh Pe De Gaya Mar K Ghalat Kiya


Uska Koi Qasoor Nahi Ajnabi Tha Wo
Chahat Me Uski Mene Utar K Ghalat Kiya


Wo Keh Raha Tha Door Teri Dastaras Se Hun
Mene Hi Aitemaad Na Kar K Ghalat Kiya


Ab Tak Samajh Raha Tha Mohabbat Hai Bandagi
Ab Mujh Ko Lag Raha Hai K Kar K Ghalat Kiya


Dekha Usy To Phir Se Khalish Dil Main Uth Gai
Mazher Gali Se Uski Guzar K Ghalat Kiya...

Bikhar Raha Hai Fazaon Me Rang-o-Boo Ho Kar

Bikhar Raha Hai Fazaon Me Rang-o-Boo Ho Kar
Utar Raha Hai Dilon Me Wo Guftagu Ho Kar


Kabhi To Lafz K Paikar Me Dhal K Aega
Me Jis Ko Sochta Rehta Hun Ba-Wuzu Ho Kar...

23 Jan 2016

Yeh zindagi hai meri, iss per haq hai mera

Yeh zindagi hai meri, iss per haq hai mera iss per haq jatana, nahi hai haq tera...

Iss ka har faisla, hai marzi meri
Nahi qubool mujhe koi bandish teri;

Ae logon! chahat hai sambhalne ki tou sambhalo apni zindagi,
     Khud ka hausla hai buland itna
     Nahi zaroorat tere sambhalne ki

Ab asoolon se na bandhegi zindagi meri
Teri salah aur faislon per na chalegi zindagi meri...    
             
Ab yehi ek asool hai baqi, issi per guzarni hai zindagi, 
Ke jeena hai tou jiyo apni khushi se 
Jee kar khush hona hai,tou suno apne dil ki

Kyun ke suni agar ab iss duniya walon ki
Tou jee kar bhi jee nahi paoge, 
Khush hokar bhi muskura nahi paoge...

Itna mat socho yeh baat hai zara si
Yeh zindagi hai meri, iss per haq hai mera
Iss per haq jatana, nahi hai haq tera... 

Poetry sender : Maira Saud

SARDIO KI RATOO MAY

SARDIO KI RATOO MAY
KHUAB MAY KHIALOO MAY
SHARE KI KITABOO MAY
ADH KHILAY GULABOO MAY
HUSAN KAY HAWALOO MAY
SURMAIAY UJALOO MAY
CHAND MAY SITAROO MAY
DILLNASHIN ASHAROO MAY
SUBH KI DUAYOO MAY
SHAM KI ADAOO MAY
JAB BHE MAY NAY SOCHA HAY
JAB BHE MAY NAY DAYKA HAY
TUM SUNAI DAYTAY HO
TUM DIKAI DAYTAY HO

22 Jan 2016

Jany Waly Kab Aaty Hain Q Krty Hain Wady Log

Reza Reza Sapno Waly Tooty Chehre Aadhy Log
Jany Waly Kab Aaty Hain
Q Krty Hain Wady Log

Aas Mein Bethi Shehzadi Ki
Maang Mein Chandi Jhaank Chuki
Itni Dair Se Q Aaty Hain
Aakhir Ye Shehzady Log

Pyar Ki Raah Pe Ungli Thaamy
Andha Dhund Chal Party Hain
Na Smjhi Mein Mar Jaty Hain
Hum Se Seedhy Saady Log

Hum dono Mein Kon Hy Mujrim
Ye Ty Hona Mushkil Hy
Aadha Shehr Tha Haami UsKa
Sath Thy Mere Aadhy Log...

Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe.

Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe.
Ya kabhi bhi na nazar ayen, agr tu chahe.

Tu jo chahe to sar-e-aam Karen ehd-e-wafa.
Yon hi dunya se guzar jaen, agr tu chahe.

Mujh se milne min to janaan teri ruswai hai.
Hum teri yad se mil ayen, agr tu chahe.

Tu jo keh de to pukaren sar-e-bazar tujhe.
Ajnabi ban k guzar jaen, agr tu chahe.

Zindagi varain tujhe teri ijazat gar milay
Teri chokhat pe hi mar jaen, agr tu chahe.

21 Jan 2016

Teacher: Shalwar k naray ko English mn kya kehty hn?

Teacher: Shalwar k naray ko English mn kya kehty hn?

Student:
P.H.D

Teacher:
Is ka kya matlab hy?

Student:
Pajama Holding Device......

Mohabbat be irada hai

???? ?? ????? ??
............................
???? ?? ?????? ??
???? ?? ????? ??
??? ?? ??? ?? ?? ??
???? ?? ??????? ??
???? ?? ?????? ???? ??
??? ?? ?? ????? ??
?? ???? ?? ????? ??
?? ??? ?? ?????? ??
???? ?? ??? ???? ??
???? ????? ????? ??
???? ???? ???? ??
?? ?? ???? ?? ?? ?? ????? ?? ??? ???? ??
?? ???? ??
?? ???? ????? ?? ?? ??? ???? ??
???? ?? ?????? ??
???? ?? ????? ?? ..

""Taiz Hawa Or Hath Mein Uss Ka Hath Tha..

""Taiz Hawa Or Hath Mein
Uss Ka Hath Tha..
.
""Kuch Hi Qadam Hum Sath Chaley Aankh Khuli To Khuwab Tha...

KHDAYA!!!! Mujh ko kuch na dey

"KHDAYA!!!!
Mujh ko kuch na dey Nahin kuch bhi nahin chahye ab...

Bus us ki khawish Poori ker de Jo duaon mein Sadaon mein Mujhe he mangta hai..

20 Jan 2016

Tu Mila To Ab Yeh Ghum Hai,

Tu Mila To Ab Yeh Ghum Hai,

Piyar Ziyada Hai Zindagi Kam Hai...!!! 

Haqeqit Kar Gaya Zahir Sitamgar Youn Juda Ho Kar..

Haqeqit Kar Gaya Zahir

Sitamgar Youn Juda Ho Kar..

K Pathar Ka Sanam Tha Wo Jo Milta Tha Khuda Ho

Kar..

Gham E Doraan Gham E Yaraan

Gham E Janaan Gham E Hijraan..

Ajab Ek Lutf Paya Hai Ghamon Say Aashna Ho Kar..

Bhanwar Min Chor Kar Mujh Ko

Chala Q Janib E Sahil..

Safeena Doobnay Tak To

Wo Rukta NaKhuda Ho Kar..

Mujay Dhutkaar Na Zalim

Tu Chokhat Par To Rehnay Day..

Khara Hun Deed Ki Khatir

Faqeer E BeNawa Ho Kar..

Ye Meri Shayri Sari

Teri Chahat Pe Mabni Hai..

Jo Kaghaz Pe Bikhrti Hai

Mery Dil Ki Sada Ho Kar..

Milan Ki Aas Hai

Faqat Hum Gham K Maron Ko

Warna Kab K Dunya Se

Chalay Jatay Khafa Ho Kar..

Hai Husn Ka Purkaif Nazara Teri Aankhe!

Hai Husn Ka Purkaif Nazara Teri Aankhe!
Gar Chand Mera Dil, To Sitara Teri Aankhe!

Jab Jab Bhi Parhun Inko Mohabbat Ki Nazar Se.
Lagti Hain Ek Taza Shumara Teri Aankhen

Meri Dil-O-Dimagh Pe Humdum, Kuch Aisey Hai Tera Basera.

Meri Dil-O-Dimagh Pe Humdum, Kuch Aisey Hai Tera Basera.

Ik Shakhs Ho Tum Sabke Wastey,Mere Liye Sara Jaha'n Ho

? Tujhe Paa Kr Jo Mile Sakoon Mujh Ko Jaan'an ?

? Tujhe Paa Kr Jo Mile Sakoon Mujh Ko Jaan'an ?

? Wo Tasalli-e-Dil Kisi Aur tarhan Mumkin Nh Mere Liye ?

Mujhay Aksar Woh Kehti Thi, " Mohabbat Kuch Nahi Hoti.

Mujhay Aksar Woh Kehti Thi, " Mohabbat Kuch Nahi Hoti... !! " 

Hijr Ka Khof Be-Matlab.... Wasal Ke Khawab Be-Maani... !! 
Koi Soorat Nigahon Mein Kahan Din Raat Rehti Hai... ? 
Ussay Kiyun Khamoshi Kahiye Ke Jis Mein Baat Rahti Hai... ? 
Ye Aansoo Be-Zubaan Aansoo Bhala Kya Bol Saktay Hain... ? 
Kahan Dil Mein Kisi Ki Yaad Say Toofaan Uthtay Hain... ? 
Kahan Palkon Ke Saye Mein Nami Din Raat Rahti Hai... ? 
Kahan Hoti Hain Woh Aankhein Jahan Barsaat Rahti Hai... ? 

Mujhay Aksar Yeh Kahti Thi, " Mohabbat Kuch Nahi Hoti... !! " 

Magar....... Jab Aaj Barson Baad Maine Usko Daikha Hai.... !! 

Uski Jheel Aankhon Mein Hijr Ka Khof Rahta Hai.... ! 
Wasal Ke Khawab Rahtay Hain... Wahan Barsaat Rahti Hai... ! 
Youn Lagta Hai Kayee Raaton Say Woh Soyee Nahi Shayad... ! 
Youn Lagta Hai Kissi Ki Yaad Ab Din Raat Rehti Hai... ! 
Aur Uski Naram Palkon Ke Haseen Saye Bhi Geelay Hain... ! 
Aur Uski Khamoshi Aisi Ke Jis Mein Baat Rahti Hai... ! 

Mujhay Ab Woh Nahi Kehti, " Mohabbat Kuch Nahi Hoti..<3

19 Jan 2016

Salam Friends Next Mohnth Mera Pakistan Tour ka irada hai. insha Allah


( Admin Mehroz )
Salam Friends
Next Mohnth Mera Pakistan Tour ka irada hai.
 insha Allah 

Next Month 7 and 8 February ko Lahore me
aur
9 /10 February ko islamabad me
aur phir
11/12 ko Murree  me hon gay Hum.
insha Allah

13 February ko Meri Birthday hai.
Pehli bar Birthday Murree me Manaon ga
plzzz Friends Dua kijeye ga k
13 February ko Murree me Baraf Bari ho jaye.
:)

 lahore islamabad murree city k 
bloggers ko agr koi Help chahiye ho to
wo mil sakty hain.
My Mobile Number
0345,2322012
Take Care Friends Allah Hafiz

Mere Ho Jaao Mujhe Ye Nhi Kehna...!!

Mere Ho Jaao Mujhe Ye Nhi Kehna...!!

Mere Ho Tum, Or Sirf Mere Hi Rehna...!

Teri Dunia Apni Palkon Main Sajane Aaya Hoon ...!!

Teri Dunia Apni Palkon Main Sajane
Aaya Hoon ...!!

Tujhe Jannat Lay Jany aya hoon...!!

Jab Se Tum Ko Chaha Hai

Jab Se Tum Ko Chaha Hai

Kisi Or Ko Dekhne Ka Dil Hi Nahi Karta

ManZar MaiN JaB Tu Hi Na Tha Kya KarTi BEENAI Bhi

ManZar MaiN JaB Tu Hi Na Tha Kya KarTi BEENAI Bhi
BaSti BaSti GhooM AayE HaiN HuM Bhi AuR TaNhai Bhi

IshQ MaiN KiS Ko Kya MiLta Hai ApNi ApNi QiSmaT Hai
Ek Hi SiKkaY K CheHreY HaiN IzZat Bhi RUSWAI Bhi

ApNe DheYaaN MaiN AiSy GhaM ThE Us Ki GaLli Bhi ChoR AayE
KaM KaM HoN GaY Is DuNiyA MaiN HuM JaiSe SODAI Bhi

BharTy BhaRtY BhaR GaeY SaaRe ZaKhM TuMhari FurQT K
AaTy AatY Aa Gai AaKhir HuM Ko RaaS JUDAI Bhi

YuN Bhi Nhi Hai HuM Wo GaLliyaN BiLkuL BhooL GaEy HooN
AuR BoHat Si BaatoN K SanG YaaD TuMhari AayE Bhi

Ab K TuMhare SheHer Se Bhi Hum SaiR KarTe GuzRy HaiN
TaLkh BoHat Yeh Baat SaHi PaR Us MaiN Hai SACHAI Bhi

Saamne Aajao "Wallah" Kbhi Dulhan Banke.......

Saamne Aajao "Wallah" Kbhi Dulhan Banke.......

Jaan De Denge Hum Mou Dikhai Mein......

Husn Parde Se Nikal Kar

Husn Parde Se Nikal Kar Our Bhi _______________�___ ...!!
Daal Deta Hai KhaLaL ________________ Emaaan Mein...!!!

18 Jan 2016

Barishon Ke Mosam Mein


Barishon Ke Mosam Mein
Dil Ki Sar Zameenon Par
Gard Kyun Bikharti hai.?

Iss Tarha Ke Mosam Mein
Phool Kyon Nahin Khilte.?
Log Kyun Nahin Milte?

Kyun Faqat ye Tanhai
Sath Sath Rehti Hai?
Kyun Bicharne Walon Ki
Yaad Sath Sath Rehti Hai.?

Itni Tez Barish Se
Dil Ke Aainey par Se
Aks Kyun Nahin Dhulte?
Zakham Kyun Nahin Mitte.?
Neend Kyun Nahin Aati.? 

Barishon Ke Mosam Mein
Aankh Kyun Barasti hai.?
Ashk Kyun nahin Thamte.?
Barishon Ke Mosam Mein...!

Mairy Seeny sy zara Kaan laga

Mairy Seeny sy zara Kaan laga

Wird krti hain Dharkanen Tera

"Mujhe duaon mein yaad rakhna"

"Mujhe duaon mein yaad rakhna"
,
"Mera Assasa hi bus dua hai"
,
"Ye Andheron mein roshni hai"
,
"Ye kaali raaton mein chandni hai"
,
"IsSi saharY guzar rahay hain"
,
"Ye zindagi k haseen Lamhe"
,
"Ye meri izzat"
,
"Ye meri shohrat"
,
"Hain doston ki dua ka hasil"
,
"Mujhe duaon ka aasra hai"
,
"Meri bus itni si iltja hai"
,
"Meri umeedun ki laaj rakhna"

"Mujhe Apni Khas Duaon Mein Yaad Rakhna

17 Jan 2016

Teri ''Qasam'' Ek Pal BhI ChaIn Se GuzRa H0 T0 "QaSam le L0"

Teri ''Qasam''
Ek Pal BhI ChaIn Se GuzRa H0 T0 "QaSam le L0"

SIwAye Yad0n Kay K0I Aur SahAra H0 T0 "QaSam le L0"

Pehle T0 Bat Aur ThI J0 Tum Par HaQ JatAte ThAy,
Ab kh0Od Par BhI K0I HaQ HamAra H0 T0 "QaSam le L0"

Tum HI Ne Kaha Tha Kay TumhAre Lab0n Par MeRa NaAm Acha
LaGta HaI,

Us Kay BaAd J0 LIya H0 NaAm kIsI ka T0 "QaSam le L0...!

Teri Chokhat Pe Bethe Hain TO KHaali Hum Na Jayenge___!!

Teri Chokhat Pe Bethe Hain TO KHaali Hum Na Jayenge___!!

Yh Dharna Dil Ka Dharna Hai Ise Asaan Mat Lena____!!!

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...