9 Dec 2014

Kisi Pichhli Mohabbat Ko Dobaara Kar Liya Jaaye

Youn Hi Is Ishq Mein Itna Gawaara Kar Liya
Jaaye
Kisi Pichhli Mohabbat Ko Dobaara Kar Liya
Jaaye

Shajar Ki Tehniyon K Paas Aaney Se Zara
Pehley
Dua Ki Chhaaon Mein Kuch Pal Guzaara Kar
Liya Jaaye

Hamara Mas'ala Hai Mashwarey Se Ab Bohat
Aagay
Kisi Din Ehtiyatan Istakhaara Kar Liya Jaaye

Mera Maqsad Yahaan Rukna Nahi Bus Itna
Socha Hai
Safar Se Paishtar Uss Ka Nazaara Kar Liya
Jaaye

Hawaley Kar K Apna Jism Ik Din Taiz Lehron
Se
Phir Uss K Baad Dariya Se Kinaara Kar Liya
Jaaye

Nadeem Us Shehar Mein Manoos Galiyaan
Bhi Bohat Si Hein
Aur Ab Aaye Hein To In Ka Bhi Nazaara Kar
Liya Jaaye

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...