Charcha-e-Mohabbat sare aam ho na jaaye
Tu mere naam se badnaam ho na jaaye.
Bura waqt phir zindagi main aaya hai
Apne aur gair ki pehchan ho na jaaye
Ajnabee bankar tu iss kadar mili mujhse
Gum aaj mujh par meharbaan ho na jaaye
Mehfil se utha mujhko magar ye dekh lena
Mere baad teri mehfil veeran ho na jaaye
Itna pyar na barsa mujh par mere kaatil
Meri jaan lene wala meri jaan ho na jaaye
Tujhe manane ki khatir khud ko mita raha hun
Meri yeh aakhiri koshish bhi nakaam ho na
jaaye
Uski masoom aankhein mujhko bula rahin
hain
Aadmi aaj jaanwar se insaan ho na jaaye
No comments:
Post a Comment