karna hai kar e khir to phir sar na dekhna
barsein jo teri zaat pe phathar na dekhna
lagne lagein gay dost bhi doshman sabhi tumhain
yani hai kis k hath me khanjar na dekhna
rakhna haqiqatein bhi nighahon k samne
din raat sirf khawab ka manzar na dekhna
re jaye rang'e'bu se tallukh tera agar
phoolon ko apne hath se cho kr na dekhna
jana agar hai parr to ho kaar sawar tum
kashti k sath sath samandar na dekhna
khud karna zindagi se wafaon ka faisla
kia keh raha hai tum se mukaddar na dekhna
masroof apni jhaang me rehna sada magar
nazrein utha k tum kabhi upaar na dekhna
No comments:
Post a Comment