1 Dec 2014

Ab b Har December MeinUss Ki Yaad Aati Hay...!!!

Mujh Se Poochtey Hain Log
Kis Liye December Mein
Yun Udas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi k Janey Ka
Sog Main Manata Hoon


Sardion k Mausam Mein
Garam Garam Coffee k
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Koi Mujh Se Kehta Tha
Haye Iss December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mausam Hay
Kitni Yakh Hawayein Hain

Aap b Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho k Itney Bey Parwah
Jeans Aur T-Shirt Mein
Kis Mazey Se Phirtey Hain
Shaal b Mujhay Dey Di
Coat b Oorrha Dala
Phir b Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Se
Pehan Lijiye Sweater
Aap k Liye Main Ne
Bun Liya Tha Do Din Mein

Kitna Maan Tha Uss Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay

Kitni Mukhtalif Thi Vo
Sab Se Munfarid Thi Vo
Apni Aik Lagzish Se
Main Ne Kho Diya Uss Ko
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay...!!!

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...