27 Nov 2014

Main Iss Liye Duniya Pe Bharosa Nahi Karta

Acha Hai Kisi Aur Nazaaray Say Jurri Hai
Duniya Ki Talb Youn Bhi Khasaaray Say Jurri Hai

Baahir Koi Aur Tamaasha Hai Gali Mein
Har Aankh Jo Khirrki K Ishaaray Say Jurri Hai

Main Iss Liye Duniya Pe Bharosa Nahi Karta
Matti Ki Ye Deewaar Bhi Gaaray Say Jurri Hai

Ye Kashtiyon Waale To Youn Hi Khouf-Zada Hain
Dariya Ki To Har Mouj Kinaaray Say Jurri Hai

Har Din Kisi Sooraj K Taaaqub Mein Hai
Har Raat Kisi Aur Sitaaray Say Jurri Hai

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...