9 Nov 2014

Ek Tarfa Mohabbat ki Kahaani Kon Dekhega

Ek Tarfa Mohabbat ki Kahaani Kon Dekhega
Meri Aankhon Ka Ye Girta Paani Kon
Dekhega

Luta Betha Hon Jo main Ishq ki Raah-e-
Guzar pe wo
Bohat Barbaad Aur Be-Rang jawaani Kon
Dekhega

jise Ho Tere Daaman Ki Talab Teri Tamanna
Ho
Bhala Phir Tum Batao Rut Suhaani Kon
Dekhega

Zamane Mai Khuda Mere Agar Ye Rut Jafa
Thehri
Mohabbat Phir Wafaaon ki Ruhaani Kon
Dekhega

Bohat Be-Chain Hoon Ae "ShamS" Mujhe iss
Baat ka Gham Hai
Khuda Ke Noor Se Chamki Peshaani Kon
Dekhega

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...