14 Nov 2014

Aaj Se Sab Kuch Naam Tumhare...

Sahil Rait Samandar Basti Jungle Sehra Darya Saarey..
Aaj Se Sab Kuch Naam Tumhare..

Khawab Ki Batein Yaad K Qissey
Soch K Pehlu Neend K Lamhey..

Dard K Aansu Chain K Naghmey
Urrtey Waqt K Behtay Dhaarey..

Aaj Se Sab Kuch Naam Tumhare..

Rooh Ki Aahat,
Jism Ki Jumbish,
Khoon Ki Wehshat,
Saans Ki Larzish,
Aankh Ka Aansu,
Hont Ki Rangat,
Chahat K Unwaan Ye Saare,

Aaj Se Sab Kuch Naam Tumhare...

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...