6 Jul 2013

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Jaanay kis dais gaye khuwab humaaray le kar,



Wo jo aasuda-e-sahil hain unhein kiya maloom,

Ab k mouj aayi to paltay gi kinaaray le kar,



Aisa lagta hai k har mousam-e-hijraa'n mein bahaar,

Hoont rakh deti hai shaakhon pe tumhaaray le kar,



Shehar waloon ko kahaan yaad hai wo khuwab farosh,

Phirta rehta tha jo galiyoon main ghubaaray le kar,



Nakd-e-jaan surf huwa kalft-e-hasti mein 'Faraz'

Ab jo zinda hoon tu kuch saans odharay le kar..

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...