6 Jul 2013

Behalti Jaaye Gi Sarkash Mohabbat Dekhtay Jaao,

Behalti Jaaye Gi Sarkash Mohabbat Dekhtay Jaao,

Tumhain Duniya Sikhaa De Gi Siyasat Dekhtay Jaao.



Barre Onche Suroon Mein Baat Kartay Ho Mohabbat Ki,

Mohabbat Hai Khasaaroon Ki Tijarat Dekhtay Jaao.



Hum Apne Phool Se Jazbay Bikhrain Ge Fizaoon Mein.

Chale Gi Hum Se Khushboo Ki Riwayat Dekhtay Jaao.



Rida-e-Khuwaab Ko Hum Noor Ki Barish Mein Dhoain Gay,

Mohabbat Ko Banaa Dain Gay Ibadat Dekhtay Jaao.



Humaari Arzooun Ko Khuli Parwaaz Karnay Do,

Karay Ga Aasmaan In Ki Hifazat Dekhtay Jaao.



Hum Apni Aatish-e-Jaan Se Jalaain Gay Diye Har Soo,

Humaare Lafaz Baanten Ge Hararat Dekhtay Jaao...

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...