25 Jul 2013

Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.

Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.
Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bahut Hai.

Mil Leta Hai Guftago Ki Had Tak.
Itna Hi Tera Karam Bahut Hai.

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthai Ga.
Dheleez Pe Ek Qadam Bahut Hai.

Mil Jaye Agr Teri Rafqat.
Mujh Ko To Yehi Janam Bahut Hai.

Kia Shab Se Humen Sawal Karna.
Hona Tera Subh Dam Bahut Hai.

Q Bujhne Lage Charagh Mere.
Ab K To Hawa B Kam Bahut Hai.

Chup Q Tujhe Lag Gai Hai PARVEEN.
Sunte Thay K Tujh Me Raim Bahut Hai.

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...